Raah Mein Khatre Bhi Hain Lekin Thaharta Kaun Hai By Rahat Indori | Ghazal

Raah Mein Khatre Bhi Hain Lekin Thaharta Kaun Hai By Rahat Indori | Ghazal, Rahat Indori poetry, Rahat Indori Ghazal, Rahat Indori Shayari, Rahat Indori quotes image, Rahat Indori mushaira, Rahat Indori Ghazal videos.

About This Ghazal:-

This is very beautiful Ghazal ‘Raah Mein Khatre Bhi Hain Lekin Thaharta Kaun Hai‘ written by Rahat Indori.

Raah Mein Khatre Bhi Hain Lekin Thaharta Kaun Hai


राह में ख़तरे भी हैं लेकिन ठहरता कौन है
मौत कल आती है आज आ जाए डरता कौन है

सब ही अपनी तेजगामी के नशे में चूर हैं
लाख़ आवाज़ें लगा लीजे ठहरता कौन है

हैं परिंदों के लिए शादाब पेड़ों के हुजूम
अब मेरी टूटी हुई छत पर उतरता कौन है

तेरे लश्कर के मुक़ाबिल मैं अकेला हूँ मगर
फ़ैसला मैदान में होगा कि मरता कौन है

                                                       – राहत इन्दौरी


Raah mein khatre bhi hain lekin thaharta kaun hai
Maut kal aati hai, aaj aa jaye, dartaa kaun hai

Sab hi apani tezgaami ke nashe mein choor hain
Laakh aawaazein laga leeze thaharta kaun hai

Hain parindon ke liye shadaab pedon ke huzoom
Ab meri tooti hui chhat par utarta kaun hai

Tere lashkar ke muqabil main akela hoon magar
Faisla maidaan mein hoga ki marta kaun hai

                                                      – Rahat Indori