Sula Chuki Thi Ye Duniya Thapak Thapak Ke Mujhe – Rahat Indori | Ghazal And Shayari

Chuki Thi Ye Duniya Thapak Thapak Ke Mujhe written and performed by Rahat Indori. This poetry is best Ghazal and Shayari of Rahat Indori.

Sula Chuki Thi Ye Duniya Thapak Thapak Ke Mujhe

सुला चुकी थी ये दुनिया थपक थपक के मुझे
जगा दिया तेरी पाज़ेब ने खनक के मुझे

कोई बताये के मैं इसका क्या इलाज करूँ
परेशां करता है ये दिल धड़क धड़क के मुझे

ताल्लुकात में कैसे दरार पड़ती है
दिखा दिया किसी कमज़र्फ ने छलक के मुझे

हमें खुद अपने सितारे तलाशने होंगे
ये एक जुगनू ने समझा दिया चमक के मुझे

बहुत सी नज़रें हमारी तरफ हैं महफ़िल में
इशारा कर दिया उसने ज़रा सरक के मुझे

मैं देर रात गए जब भी घर पहुँचता हूँ
वो देखती है बहुत छान के फटक के मुझे

                                                     – राहत इन्दौरी

Sula chuki thi ye duniya thapak thapak ke mujhe
Jaga diya teri paazeb ne khanak ke mujhe

Koi bataye ke main is ka kya ilaaj karoon
Pareshaan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe

Taallukaat mai kaise daraar padti hai
dikha diya kisi kamzarf ne chhalak ke mujhe

Humein khud apne sitaare tarashne honge
Ye ek jugnu ne samjha diya chamak ke mujhe

Bahut si nazrein humari taraf hain mehfil main
Ishara kar diya usne zara sarak ke mujhe

Mai der raat gaye jab bhi ghar pahunchta hoon
Wo dekhti hai bahut chhaan ke phatak ke mujhe

                                             – Rahat Indori