Meri Nazar Ke Saleeqe Mein Kya Nahin Aata – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful Ghazal 'Meri Nazar Ke Saleeqe Mein Kya Nahin Aata' has written  by Waseem Barelvi.

Meri Nazar Ke Saleeqe Mein Kya Nahin Aata

Meri nazar ke saleeqe mein kya nahin aata,
Bas ek teri hi taraf dekhna nahin aata.
Akele chalna toh mera naseeb tha ki mujhe,
Kisi ke saath safar baantna nahin aata.
Udhar toh jaate hain raaste tamaam hone ko,
Idhar se ho ke koi raasta nahin aata.
Jagaana aata hai us ko kayi tareeqon se,
Gharon pe dastake dene khuda nahin aata.
Yahan pe tum hi nahin aas paas aur bhi hain,
Par uss tarah se tumhe sochna nahin aata.
Pade raho yun hi sahme hue diyon ki tarah,
Agar hawaaon ke par baandhna nahin aata.
(In Hindi)
मेरी नज़र के सलीक़े में क्या नहीं आता
बस एक तेरी ही तरफ देखना नहीं आता।
अकेले चलना तोह मेरा नसीब था की मुझे,
किसी के साथ सफर बांटना नहीं आता।
उधर तो जाते हैं रास्ते तमाम होने को,
इधर से हो के कोई रास्ता नहीं आता।
जगाना आता है उस को कई तरीकों से
घरो पे दस्तके देने खुदा नहीं आता।
यहाँ पे तुम ही नहीं आस पास और भी हैं
पर उस तरह से तुम्हे सोचना नहीं आता।
पड़े रहो यूँ ही सहमे हुए दीयों की तरह
अगर हवाओं के पर बांधना नहीं आता।
                                       – Wasim Barelvi