YEH AAINA LYRICS – KABIR SINGH | Amaal Malik, Shreya Ghoshal

Yeh Aaina Hindi Song Lyrics Sung by Shreya Ghoshal from movie Kabir Singh

Latest hindi love song ‘Yeh Aaina‘ from movie ‘Kabir Singh‘ in the voice of very talented artist ‘Shreya Ghoshal‘. Music composed of this song by ‘Amaal Malik‘ while Lyrics are penned by ‘Irshad Kamil‘. Music label is T-Series.

Yeh Aaina Lyrics

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware
Itna lage sochne kyun
Main aajkal tere baare

Tu jheel khamoshiyon ki
Lafzon ki main toh lehar hoon
Ehsaas ki tu hai duniya
Chhota sa main ek shehar hoon

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanwaare

Khud se hai agar tu bekhabar
Bekhabar rakh loon main tera khayaal kya
Chupke chupke tu nazar mein utaar
Sapno mein loon main sambhaal kya
Sapno mein loon main sambhaal kya

Main daud ke paas aaun
Toh neend mein jo pukaare
Main rait hoon tu hai dariya
Baithi hoon tere kinaare

Yeh aaina hai ya tu hain
Jo roz mujhko sanwaare

Tanha hai agar tera safar
Humsafar tanhaai ka main jawaab hoon
Hoga mera bhi asar
Tu agar padh le main teri kitaab hoon
Padh le main teri kitaab hoon

Seene pe mujhko sajaa ke
Jo raat saare guzaare
Toh main savere se keh doon
Mere shehar tu na aa re

Yeh aaina hai ya tu hain
Jo roz mujhko sanwaare….

Yeh Aaina Audio Here:-