Jahan Dariya Kahin Apane Kinaare Chhod Deta Hai – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

The beautiful ghazal 'Jahan Dariya Kahin Apane Kinaare Chhod Deta Hai' has written by Waseem Barelvi.
 Difficult Word 
बे-दस्त-ओ-पा = असहाय, अपंग।

Jahan Dariya Kahin apane…

Jahan dariya kahin apane kinaare chhod deta hai
Koi uthata hai aur toofaan ka rukh mod deta hai
Mujhe be-dast-o-pa kar ke bhee khauf us ka nahin jaata
Kahin bhi haadisa guzare wo mujh se jod deta hai
Bichhad ke tujh se kuch jaana agar toh iss qadar jaana
Wo mitti hoon jise dariya kinaare chhod deta hai
Mohabbat mein zara si bewafaai toh zaroori hai
Wahi achha bhi lagata hai jo vaade tod deta hai.
(In Hindi)
जहाँ दरिया कहीं अपने किनारे छोड़ देता है
कोई उठता है और तूफ़ान का रुख़ मोड़ देता है
मुझे बे-दस्त-ओ-पा कर के भी ख़ौफ़ उस का नहीं जाता
कहीं भी हादिसा गुज़रे वो मुझ से जोड़ देता है
बिछड़ के तुझ से कुछ जाना अगर तो इस क़दर जाना
वो मिट्टी हूँ जिसे दरिया किनारे छोड़ देता है
मोहब्बत में ज़रा सी बेवफ़ाई तो ज़रूरी है
वही अच्छा भी लगता है जो वादे तोड़ देता है।
                                      – Waseem Barelvi