Adab ki had mein hoon Main – Bashir Badr | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Adab ki had mein hoon Main' has written by Bashir Badr.

 Difficult Words 
अदब = विनय, सम्मान।
तज़िकरा  =  जिक्र।
रोज़-ओ-शब =  दिन और रात।
महरूमियां = . वंचित, अभागा, बदनसीब।
वालिदैन  =  माता-पिता।
नसब = वंशावली।

Adab ki had mein hoon Main

Adab ki had mein hoon main be-adab nahin hota
Tumhara tazikra ab roz-o-shab nahin hota
Kabhi-kabhi to chhalak padti hai yun hi aankhein
Udaas hone ka koi sabab nahin hota
Kai ameeron ki mahrumiyaan na poochh ki bas
Gareeb hone ka ehsaas ab nahin hota
Main waalidain ko ye baat kaise samjhaun
Mohabbaton mein habas-o-nasab nahin hota
Wahan ke log bade dilfareb hote hai
Mera bahkna hi koi ajab nahin hota
Main is zameen ka deedaar karna chahta hoon
Jahan kabhi bhi khuda ka gazab nahin hota
                                    – Bashir Badr
अदब की हद में हूं मैं
(In Hindi)
अदब की हद में हूं मैं बे-अदब नहीं होता
तुम्हारा तजिकरा अब रोज़-ओ-शब नहीं होता
कभी-कभी तो छलक पड़ती हैं यूं ही आंखें
उदास होने का कोई सबब नहीं होता
कई अमीरों की महरूमियां न पूछ कि बस
ग़रीब होने का एहसास अब नहीं होता
मैं वालिदैन को ये बात कैसे समझाऊं
मोहब्बतों में हबस-ओ-नसब नहीं होता
वहां के लोग बड़े दिलफरेब होते हैं
मेरा बहकना भी कोई अजब नहीं होता
मैं इस ज़मीन का दीदार करना चाहता हूं
जहां कभी भी खुदा का ग़ज़ब नहीं होता
                                           – बशीर बद्र