Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakkhe hain – Bashir Badr | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakkhe hain' has written by Bashir Badr.

 Difficult Word 
क़ुव्वत = ताकत, दम।

Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakkhe hain

Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakkhe hain
Aaj tak humne ye darwaaze khule rakkhe hain
Is kahani ke wo kirdaar kahan se laaun
Wahi dariya hai wahin kacche ghade rakkhe hain
Hum pe jo gujari na bataaya na bataayenge kabhi
Kitne khat ab bhi tere naam likhe rakkhe hain
Aapke paas khareedaari ki kuvvat hai agar
Aaj sab log dukaano mein saze rakkhe hai,
(In Hindi)
दिल की दहलीज़ पे यादों के दिए रक्खे हैं
दिल की दहलीज़ पे यादों के दिए रक्खे हैं
आज तक हमने ये दरवाज़े खुले रक्खे हैं
इस कहानी के वो किरदार कहाँ से लाऊं
वही दरिया है वही कच्चे घड़े रखे हैं
हम पे जो गुजरी न बताया न बताएँगे कभी
कितने ख़त अब भी तेरे नाम लिखे रक्खे हैं
आपके पास खरीदारी की कुव्वत है अगर
आज सब लोग दुकानों में सजे रखे रक्खे हैं
                                        – Bashir Badr