Ek Baat Azeez Yaar Ke Liye By Anubhav Agrawal | Friendship Special | Poetry

This lovely poem "Anubhav Agarwal" has written for his dear friend. It is not just a poem. It is a feeling that is expressed for his dear friend.
About This Poetry:
This beautiful poem ‘Ek Baat Azeez Yaar Ke Liye” is on friendship which is very lovely and beautiful. This lovely poem “Anubhav Agarwal” has written for his dear friend. It is not just a poem. It is a feeling that is expressed for his dear friend.

Ek Baat Azeez Yaar Ke Liye

Ek chhoti si baat apne azeez yaar se kehna chahta hoon
Jab bhi main pichhe mud ke dekhta hu, 
Bas ek hi cheez sochta hoon
Ki maine zindagi mein kuch kamaya ho chahein na kamaya,
Lekin maine ek azeez yaar zaroor kamaya
Jisne, jab duniya ne na samjha to usne mujhe samjha,
Jab duniya ne mujhe toda to usne mujhe joda.
Jab duniya walo ne giraya to usne mujhe uthaya,
Jab pyaar ne saath chhoda to usne saath nibhaya.
Shayad main bahut khushnaseeb hu jo mujhe ek azeez aur khubsoorat yaar mila.
Kyunki, aaj ka zamana hai nahi jaha log nibhane mein believe karte ho ya saath rehne mein believe karte ho
Rishte ek na ek point mein dagmaga jaate hai
Aur har koi nahi sambhal pata fir un rishton ko.
Kabhi ego beech aa jati hai to kabhi galatfehmiya.
Humein aise hi log chahiye hote hai zindagi mein jo hum par kabhi give up na karein,
Chaahe yaar ke roop mein ho ya pyaar.
Thank you dost
You’re special to me.
Written by:
Anubhav Agrawal

Ek Baat Azeez Yaar Ke Liye