Ye Chandani Bhi Jin Ko Chhute Hue Darti Hai – Bashir Badr | Shayari And Ghazal

Ye Chandani Bhi Jin Ko Chhute Hue Darti Hai Shayari has written by Bashir Badr.

Ye Chandani Bhi Jin Ko Chhute Hue Darti Hai

Ye chandani bhi jin ko chhute hue darti hai
Duniya unhi’n phoolo’n ko pairo’n se masalti hai
Shoharat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai
Jis daal pe baithe ho wo toot bhi sakti hai
Lobaan me chingaari jaise koi rakh de
Yoon yaad teri shab bhar seene me sulagti hai
Aa jaata hai khud khinch kar dil seene se patari par
Jab raat ki sarhad se ik rel gujarti hai
Aansoo kabhi palkon par ta-der nahi rukte
Ud jaate hain ye panchhi jab shaakh lachakti hai
Khush rang parindon ke laut aane ke din aaye
Bichhade hue milte hai jab barf pighalti hai
ये चाँदनी भी जिन को छूते हुए डरती है
दुनिया उन्हीं फूलों को पैरों से मसलती है
शोहरत की बुलंदी भी पल भर का तमाशा है
जिस डाल पे बैठे हो वो टूट भी सकती है
लोबान में चिंगारी जैसे कोई रख दे
यूँ याद तेरी शब भर सीने में सुलगती है
आ जाता है ख़ुद खींच कर दिल सीने से पटरी पर
जब रात की सरहद से इक रेल गुज़रती है
आँसू कभी पलकों पर ता देर नहीं रुकते
उड़ जाते हैं ये पंछी जब शाख़ लचकती है
ख़ुश रंग परिंदों के लौट आने के दिन आये
बिछड़े हुए मिलते हैं जब बर्फ़ पिघलती है
Written By:
Bashir Badr