Chai Thandi Ho Rahi Hai Poetry – Priya Malik | UnErase Poetry

Chai Thandi Ho Rahi Hai Poetry, Written By Priya Malik.

Chai Thandi Ho Rahi Hai Poetry :- This beautiful Poetry ‘Chai Thandi Ho Rahi Hai’ has written and performed by Priya Malik. This poetry video has published under the label of “UnEarse poetry”.

Chai Thandi Ho Rahi Hai Poetry

Aaj ke akhabaar ki sabse achhi khabar ho tum 
Jo achhi khabar ke intezaar mein hai unke liye sabr ho tum 
Din chadhne ka halla aur shor ho tum 
Udti patang ki laharaati huyi dor ho tum Neemkhwaabi mein ugte hue sooraj ki laali ho tum 
Meri subah ki chai ki pahali pyaali ho tum
Sarkaar ki khaareez waadon se nahin ho tum
Share Market ke utaar chadhaavon se nahin ho tum 
Nahin ho tum badalte mausam ki tarah ya Cryptocurrency ke atpate coins ki tarah, 
Jo naukari dhoondh rahe hain unke liye kaam ho tum 
Bhaagati daudati maa ke do pal ka aaraam ho tum 
Gali mein khelte hue bachhon ki muskaan ho tum 
Jiski batting mein century lag gayi ho uski shaan ho tum 
Dekho sabjiwaala bhi tumhaara naam lekar pukaar raha hai apne graahak ko,
Napha aur nuksaan ki baat nahin, 
Log taras rahe hain tumhaari aahat ko
Tumhaare liye aaj na jaane kitno ne dil se mannat maangi hai 
Bhagwaan ka numbar dial kiya to unki line bhi busy aati hai 
Baba ke office ka lunch break ho tum
Sharmaji ke bete ki first division ka cake ho tum 
Fayilo ke bich rakha hua appreciation letter ho tum 
Canteen ke khaane se to bahut better ho tum
Sabse niche waale dabbe mein rakhi gud ki daali ho tum 
Meri dopahar ki chai ki pahali pyaali ho tum
Sadak ke horn bajane ki awaaj se lekar, naashte se lekar khaane mein kya banega?
Office mein aaj kitni faayile pending rahengi?
Kaun se stock ka aaj bhaav girega? 
Sab kuchh hone ke liye tumhaara hona bhi to jaroori hai
Ye garam chai ki pyaali bin tumhaare hamesha adhoori hai 
Ab ek aisi baat kahoongi jo maine tumhen hazaar baar boli hai
Jaldi aao!! chai thandi ho rahi hai.
आज के अखबार की सबसे अच्छी खबर हो तुम
जो अच्छी खबर के इंतजार में है उनके लिए सब्र हो तुम
दिन चढ़ने का हल्ला और शोर हो तुम 
उड़ती पतंग की लहराती हुई डोर हो तुम 
नीमख्वाबी में उगते हुए सूरज की लाली हो तुम
मेरी सुबह की चाय की पहली प्याली हो तुम 
सरकार की खारिज वादों से नहीं हो तुम 
शेयर मार्केट के उतार चढ़ावों से नहीं हो तुम 
नहीं हो तुम बदलते मौसम की तरह 
या क्रिप्टो करेंसी के अटपटे coins की तरह, 
जो नौकरी ढूंढ रहे हैं उनके लिए काम हो तुम
भागती दौड़ती मां के दो पल का आराम हो तुम 
गली में खेलते हुए बच्चों की मुस्कान हो तुम 
जिसकी बैटिंग में सेन्चुरी लग गई हो उसकी शान हो तुम
देखो सब्जीवाला भी तुम्हारा नाम लेकर पुकार रहा है अपने ग्राहक को 
नफा और नुकसान की बात नहीं, लोग तरस रहे हैं तुम्हारी आहट को 
तुम्हारे लिए आज ना जाने कितनों ने दिल से मन्नत मांगी है
भगवान का नंबर डायल किया तो उनकी लाइन भी बिजी आती है
बाबा के ऑफिस का लंच ब्रेक हो तुम 
शर्माजी के बेटे की फर्स्ट डिविजन का केक हो तुम 
फाइलों के बीच रखा हुआ एप्रिसिएशन लेटर हो तुम 
कैंटीन के खाने से तो बहुत बेटर हो तुम 
सबसे नीचे वाले डब्बे में रखी गुड़ की डाली हो तुम 
मेरी दोपहर की चाय की पहली प्याली हो तुम 
सड़क के हॉर्न बजने की आवाज से लेकर नाश्ते से लेकर खाने में क्या बनेगा?
ऑफिस में आज कितनी फाइलें पेंडिंग रहेंगी?
कौन से स्टॉक का आज भाव गिरेगा?
सब कुछ होने के लिए तुम्हारा होना भी तो जरूरी है 
ये गरम चाय की प्याली बिन तुम्हारे हमेशा अधूरी है
अब एक ऐसी बात कहूंगी जो मैंने तुम्हें हजार बार बोली है जल्दी आओ!! चाय ठंडी हो रही है।
Written By:
Priya Malik

Chai Thandi Ho Rahi Hai Video