Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Apne Chehre Se Jo Zahir Hai…
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपायें कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक नज़र आयें कैसे
घर सजाने का तस्सवुर तो बहुत बाद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचायें कैसे
क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसनेवाले तुझे आँसू नज़र आयें कैसे
कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुन्दर नज़र आयें कैसे?
– वसीम बरेलवी
Apne chehre se jo zahir hai chhupayein kaise
Teri marzi ke mutabik nazar aayein kaise
Ghar sajane ka tassavur to bahut baad ka hai
Pahle ye tay ho ki is ghar ko bachayein kaise
Kah-kaha aankh ka bartaav badal deta hai
Hasnewale tujhe aansu nazar aayein kaise
Koi apni hi nazar se to hamein dekhega
Ek katre ko samundar nazar aayein kaise?
– Waseem Barelvi