Bure Zamane Kabhi Poochh Kar Nahi Aate | Waseem Barelvi
Bure Zamane Kabhi Poochh Kar…
तुम्हारी राह में मिटटी के घर नहीं आते
इसीलिए तुम्हे हम नज़र नहीं आते
मोहब्बतो के दिनों की यही खराबी है
ये रूठ जाएँ तो लौट कर नहीं आते
जिन्हें सलीका है तहजीब-ए-गम समझाने का
उन्ही के रोने में आंसू नज़र नहीं आते
खुशी की आँख में आंसू की भी जगह रखना
बुरे ज़माने कभी पूछ कर नहीं आते
– वसीम बरेलवी
Tumhari raah mein mitti ke ghar nahi aate
Isliye to tumhe hum nazar nahi aate
Mohabbaton ke dinon ki yahi kharabi hai
Ye rooth jayen to laut kar nahi aate
Jinhe saleeqa hai tehzeeb-e-gam samajhne ka
Unhi ke rone mein aansu nazar nahi aate
Khushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
Bure zamane kabhi poochh kar nahi aate
– Waseem Barelvi