Apne Har Lafz Ka Khud Aaina Ho Jaaunga – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful Ghazal 'Apne Har Lafz Ka Khud Aaina Ho Jaaunga' has written by Waseem Barelvi.

 Difficult Words 
अहद-ए-वफ़ा = निरंतरता का वादा

Apne Har Lafz Ka Khud Aaina Ho Jaaunga 

Apne har lafz ka khud aaina ho jaaunga 
Us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaaunga
Tum giraane mein lage the tum ne socha hi nahin 
Main gira to masala ban kar khada ho jaaunga 
Mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar 
Raasta roka gaya to kaafila ho jaaunga 
Saari duniya ki najar mein hai mira ahad-e-wafa
Ek tere kahne se kya main bewafa ho jaaunga

(In Hindi)
अपने हर लफ़्ज़ का ख़ुद आईना हो जाऊँगा 
उस को छोटा कह के मैं कैसे बड़ा हो जाऊँगा 
तुम गिराने में लगे थे तुम ने सोचा ही नहीं 
मैं गिरा तो मसअला बन कर खड़ा हो जाऊँगा 
मुझ को चलने दो अकेला है अभी मेरा सफ़र 
रास्ता रोका गया तो क़ाफ़िला हो जाऊँगा 
सारी दुनिया की नज़र में है मिरा अहद-ए-वफ़ा 
इक तेरे कहने से क्या मैं बेवफ़ा हो जाऊँगा
                                 – Waseem Barelvi