Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Difficult Word
मसाइल = समस्याएं।
Wo Mere Baalon Mein Yun…
Wo mere baalon mein yun ungaliyaan phiraata tha
Ki aasmaan ke farishton ko pyaar aata tha
Use gulaab ki patti ne qatl kar daala
Wo sab ki raahon mein kaante bahut bichhaata tha
Tumhaare saath nigaahon ka kaarobaar gaya
Tumhaare baad nigaahon mein kaun aata tha
Safar ke saath safar ke naye masayil the
Gharon ka zikr to raste mein chhoot jaata tha.
(In Hindi)
वो मेरे बालों में यूँ उँगलियाँ फिराता था
कि आसमाँ के फ़रिश्तों को प्यार आता था
उसे गुलाब की पत्ती ने क़त्ल कर डाला
वो सब की राहों में काँटे बहुत बिछाता था
तुम्हारे साथ निगाहों का कारोबार गया
तुम्हारे बाद निगाहों में कौन आता था
सफ़र के साथ सफ़र के नए मसाइल थे
घरों का ज़िक्र तो रस्ते में छूट जाता था।
– Waseem Barelvi