Khade Hain Mujhko Kharidaar Dekhne Ke Liye – Rahat Indori | Ghazal And Shayari

'Khade Hain Mujhko Kharidaar Dekhne Ke Liye' has written and performed by Rahat Indori. This poetry is best Ghazal and Shayari of Rahat Indori.

Khade Hain Mujhko Kharidaar Dekhne Ke Liye

खड़े हैं मुझको खरीदार देखने के लिए 
मैं घर से निकला था बाज़ार देखने के लिए 

कतार में कई नबीना लोग शामिल हैं
अमीर-ए-शहर का दरबार देखने के लिए 

हज़ारों बार हज़ारों की सम्त देखते हैं 
तरस गए तुझे एक बार देखने के लिए

हर एक हर्फ़ से चिंगारियां निकलती हैं 
कलेजा चाहिए अखबार देखने के लिए

                                            – राहत इंदौरी

Khade hain mujhko kharidaar dekhne ke liye 
Main ghar se nikla tha baazaar dekhne ke liye 

Kataar mein kayi nabina log shaamil hain 
Ameer-e-shaher ka darbaar dekhne ke liye 

Hazaaron baar hazaaron ki samt dekhte hain 
Taras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye 

Har ek harf se chingariyaan nikalti hain 
Kaleja chahiye akhbaar dekhne ke liye

                                       – Rahat Indori