Kaun Kab Kaunsi Sarkar Mein Aa Jayega – Dr. Rahat Indori | Shayari

Kaun Kab Kaunsi Sarkar Mein Aa Jayega Banke ek haadsa baazaar mein aa jayega Jo nahin hoga wo akhbaar mein aa jayega Chor uchakkon ki karo kadr ke malum nahin Kaun kab kaunsi sarkar mein aa jayega Apne sahil se ye angaare hata lo Warna sara pani meri talwaar mein aa jayega Nayi dukaano ke … Read more

Wo Roza To Nahi Rakhta Par Iftaari Samajhta Hai – Rahat Indori | Shayari

Wo Roza To Nahi Rakhta Par Iftaari Samajhta Hai Siyasat mein zaruri hai rawadaari samajhta hai Wo roza to nahi rakhta par iftaari samajhta hai Main saasein tak luta sakta hoon uske ek ishaare par Magar wo mere har vaade ko sarkaari samajhta hai Kaseeda kis tarah likhna, kaseeda kis tarah padhna Wo kuch samjhe … Read more

Teri Parchhaai Mere Ghar Se Nahi Jaati Hai – Dr. Rahat Indori | Ghazal

Teri Parchhaai Mere Ghar Se Nahi Jaati Hai Teri parchhaai mere ghar se nahi jaati hai Tu kahin ho mere andar se nahi jaati hai Aasmaan maine tujhe sar pe utha rakha hai Ye hai tohmat jo mere sar se nahin jaati hai Dukh to ye hai ke abhi apni safein tirchhi hain Ye buraai … Read more

Apne Ghar Ki Pehredaari Kiya Karo – Rahat Indori | Shayari

Apne Ghar Ki Pehredaari Kiya Karo Sabko ruswa baari baari kiya karo Har mausam mein fatwe jaari kiya karo Neendon ka aankhon se rishta toot chuka Apne ghar ki pehredaari kiya karo Roz wahi ek koshish zinda rehne ki Marne ki bhi kuch tayyaari kiya karo Qatra qatra shabnam ginkar kya hoga Dariyaaon ki daawedaari … Read more

Hamare Taj Ajaayabgharon Mein Rakhe Hain – Rahat Indori | Shayari

Hamare Taj Ajaayabgharon Mein Rakhe Hain Gharon ke dhanste hue manzaron mein rakhe hain Bahut se log yahaan maqbaron mein rakhe hain Hamare sar ki fati topiyon pe tanz na kar Hamare taj ajaayab-gharon mein rakhe hain                                     … Read more

Bade Sawaab Kamaaye Gaye Jawaani Mein – Dr. Rahat Indori | Shayari

Bade Sawaab Kamaaye Gaye Jawaani Mein Nadi ne dhoop se kya keh diya rawaani mein Ujaale paanv patakne lage hain paani mein Ab itni saari shabon ka hisaab kaun rakhe Bade sawaab kamaaye gaye jawaani mein                                       … Read more

Saleeka Jinko Sikhaya Tha Humne Chalne Ka – Rahat Indori | Shayari

Saleeka Jinko Sikhaya Tha Humne Chalne Ka Andhere chaaron taraf saaye-saaye karne lage Charaag haath uthakar duayein karne lage Saleeka jinko sikhaya tha humne chalne ka Wo log aaj humein daaye-baaye karne lage Lahu luhaan pada tha zamin par ek suraj Parinde apne paron se hawaayein karne lage Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar Ye … Read more

Zameen Maa Hai Zamin Ko Daga Nahi Denge – Rahat Indori | Shayari

Zameen Maa Hai Zamin Ko Daga Nahi Denge Ho lakh zulm magar baddua nahi denge Zameen maa hai zamin ko daga nahi denge Humein to sirf jagaana hai sone walo ko Jo dar khula hai wahaan hum sadaa nahi denge Rivaayaton ki safein todhkar badho Warna jo tumse aage hain wo raasta nahi denge Sharaab … Read more

Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti – Rahat Indori | Ghazal

Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti Choti moti baat pe hijrat nahi hoti Pehle deep jalein to charche hote the Ab shahar jalein to hairat nahi hoti Roti ki golai naapa karta hai Isiliye to ghar mein barkat nahi hoti Koi kya de raay hamaare baare mein … Read more

Gaanv Ki Sab Titliyon Ke Haath Peele Ho Gaye – Rahat Indori | Ghazal

Gaanv Ki Sab Titliyon Ke Haath Peele Ho Gaye Ishq ne gundhe the jo gajre nukile ho gaye Tere haathon mein to ye kangan bhi dheele ho gaye Phool bechaare akele reh gaye hain shaakh par Gaanv ki sab titliyon ke haath peele ho gaye Kya zaruri hai karein vishpaan hum Shiv ki tarah Sirf … Read more