FATHER SAAB LYRICS – Amit Bhadana | King

Father Saab Lyrics Amit Bhadana

Father Saab Lyrics :- Very prominent and energetic Indian YouTube content creator Amit Bhadana strongly ready to release his third song titled Father Saab which is sung, written by newest indian rapper King who also get famed in MTV rap show Hustle. DOP of this song has done by Manish Shunty. This song’s concept and story has created by Amit Bhadana. Video of this song has directed by Teji Sandhu. This song has published under the label of Amit Bhadana official.


Song Title – Father Saab
Singer – King
Music –
Section 8
Lyrics – King
Video By – Teji Sandhu
Music Label –       Amit Bhadana

Father Saab Lyrics

Re bapu, tune sikhaya jo kabhi bhula nahi
Galti na ho to suraj ki aankho me taad le
Jahan ko pade wo kadam ruke nahi
Soch aisi ho chattano ka bhi seena phaad de

Logo se tere ghutne aaj tak teke ni gaye
Kyun ki aison se kabhi ghamand ke kapde pheke ni gaye
Aar jo data raha aakhiri saans tak wo saathi hota hai
O sach ka khada bhi ek anek me beta kaafi hota hai

Aur jo haq ke liye lade sabse wo baap hi hota hai
Peeth pe chadke duniya dikhe jiske wo baap hi hota hai
Aur jo daante chahe maare par dil ka sadhu hota hai
Zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

Baapu teri khubi saari mujhme sama rakhi
O tere jaisi ijjat maine kama rakhi
O farz uthaya zimmеdari ka tabse hi dukhi kabhi nahi maine maa rakhi
Wo roz mujhme tеri chhavi dekha karti bapu

Parchhaiyan shero ki kaha marti
Ek wajah hoti jo jeene ki bapu
Wo maa ki aankho me dikha karti
Tu nahi duniya me par teri baat rahe
Rampal fauji ke poton ki poori thaat rahe


O rakhke haath jo sar pe mita de gam saare
Baap hi hota hai

Sahi or galat me farak batave aisa baap hi hota hai
Aur jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai
Zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

Re baapu aankh mile aasmaan se jab jab
Chehera tera dikhta hai
Main roz ladu toofan se
Banda thehar kahan khinchta hai
Main roz punchhu bhagwaan se
Kyun tu saath nahi dikhta hai
Tu taras hi khaa ke jagah bata de
Khwaab jaha bikta hai

Kyun na wahi se jaake main khareed loon
Mujhe maange se pyaar milta nahi
Par tera hi diya hua sab rakha bhole
Bas mujhe baap dikhta nahi

Aaj tere bina bhi main
Teri nazron se duniya dekhta hoon
Main aaj bhi tere na hone ka dukh
Ek hanste huye chehre se lapet ta hoon
Baapu teri duaayein kuchh iss tarah mere saath hai
Aaj dharti pe khada hoke main
Pure ka pura aasmaan samet ta hoon

Baapu…

Aur jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai
Zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

Father Saab Song Video