Main Rahoon Ya Na Rahoon Lyrics – Armaan Malik | Emraan Hashmi & Esha Gupta

 

 
Bas itna hai tumse kehna Lyrics, Top Armaan Malik Song Lyrics, Hit Song Lyrics Of Armaan Malik, Hindi Song Lyrics, Emraan Hashmi Song Lyrics
 
Description:
 
Song Title – Main Rahoon Ya Na Rahoon
Singer – Armaan Malik
Music – Amaal Mallik
Lyrics – Rashmi Virag
Music Label – T-Series

Main Rahoon Ya Na Rahoon Lyrics

Main rahoon ya na rahoon
Tum mujh mein kahin baaki rehna
Mujhe neend aaye jo aakhiri
Tum khwabon mein aate rehna

Bas itna hai tumse kehna…(x4)

Main rahoon ya na rahoon
Tum mujhme kahin baaki rehna

Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon

Aa aa…

Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon

Kuch kahun ya na kahun
Tum mujhko sada sunte rehna

Bas itna hai tumse kehna…(x4)

Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe

Aa aa…

Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe

Main dikhu ya na dikhu
Tum mujhko mehsoos karna

Bas itna hai tumse kehna..(x4)

Hmm..

Bas itna hai tumse kehna…(x4)

Main rahun ya na rahun
Tum mujh mein kahin baaki rehna..

Main Rahoon Ya Na Rahoon Song Video