Difficult Words
ख़ुलूस = सत्यता, सच्चाई।
जुंबिश = हिलना-डुलना, हरकत।
Sau Khuloos Baaton Mein Sab Karam Khayaalon Mein
Sau khuloos baaton mein sab karam khayaalon mein
Bas zara wafa kam hai tere shehar walon mein
Pahli baar nazron ne chaand bolte dekha
Hum jawaab kya dete kho gaye sawaalon mein
Yun kisi ki ankhon mein subah tak abhi the hum
Jis tarah rahe shabnam phool ke piyaalon mein
Raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheda
jaise koi chutki Ie narm narm gaalon mein
Meri aankh ke taare ab na dekh paaoge
Raat ke musaafir the kho gaye ujaalon mein
Jaise aandhi raat ke baad chaand neend mein chounke
Wo gulaab ki junbish un siyaah baalon mein
– Bashir Badr
सौ ख़ुलूस बातों में सब करम ख़यालों में
(In Hindi)
सौ ख़ुलूस बातों में सब करम ख़यालों में
बस ज़रा वफ़ा कम है तेरे शहर वालों में
पहली बार नज़रों ने चाँद बोलते देखा
हम जवाब क्या देते खो गये सवालों में
यूं किसी की आँखों में सुबह तक अभी थे हम
जिस तरह रहे शबनम फूल के पियालों में
रात तेरी यादों ने दिल को इस तरह छेड़ा
जैसे कोई चुटकी ले नर्म नर्म गालों में
मेरी आँख के तारे अब न देख पाओगे
रात के मुसाफ़िर थे खो गये उजालों में
जैसे आधी शब के बाद चाँद नींद में चौंके
वो गुलाब की जुंबिश उन स्याह बालो में
– बशीर बद्र