Difficult Words
तहरीर = लिखावट, लिखायी, लिखी हुई बात, लिखा हुआ काग़ज़।
जब्र = दबाव, मजबूरी, ज़बरदस्ती।
राह-नुमा = एक नेता, एक पायलट, एक गाइड, एक कंडक्टर।
Tahreer Se Warna Miri Kya Ho Nahin Sakta
Tahreer se warna miri kya ho nahin sakta
Ek tu hai jo lafzon mein ada ho nahin sakta
Aankhon mein khyaalaat mein saanson mein basa hai
Chaahe bhi to mujh se wo juda ho nahin sakta
Jeena hai to ye jabr bhi sahna hi padega
Katra hun samundar se khafa ho nahin sakta
Gumraah kiye honge kayi phool se jazbe
Aise to koi raah-numa ho nahin sakta
Kad mera badhaane ka use kaam mila hai
Jo apne hi pairon pe khada ho nahin sakta
Ae pyaar tire hisse mein aaya tiri kismat
Wo dard jo chehron se ada ho nahin sakta .
(In Hindi)
तहरीर से वर्ना मिरी क्या हो नहीं सकता
इक तू है जो लफ़्ज़ों में अदा हो नहीं सकता
आँखों में ख़यालात में साँसों में बसा है
चाहे भी तो मुझ से वो जुदा हो नहीं सकता
जीना है तो ये जब्र भी सहना ही पड़ेगा
क़तरा हूँ समुंदर से ख़फ़ा हो नहीं सकता
गुमराह किए होंगे कई फूल से जज़्बे
ऐसे तो कोई राह-नुमा हो नहीं सकता
क़द मेरा बढ़ाने का उसे काम मिला है
जो अपने ही पैरों पे खड़ा हो नहीं सकता
ऐ प्यार तिरे हिस्से में आया तिरी क़िस्मत
वो दर्द जो चेहरों से अदा हो नहीं सकता ।
– Waseem Barelvi