Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Bhala Gamo Se Kahan Haar Jaane Wale The
Bhala gamo se kahan haar jaane wale the
Hum aansoon ki tarah muskurane wale the
Humin ne kar diya aeilaan-e-gumarhi warna
Humare pichhe bahut log aane wale the
Unhein to khaak mein milna hi tha ki mere the
Ye ashq kaun se unche gharaane wale the
Unhein kareeb na hone diya kabhi main ne
Jo dosti mein hadein bhul jaane wale the
Main jin ko jaan ke pahchaan bhi nahin sakta
Kuch aise log mira ghar jalane waale the
Humaara alamiya ye tha ki hum-safar bhi humein
Wahi mile jo bahut yaad aane wale the
“Waseem” kaisi talluk ki raah thi jis mein
Wahi mile jo bahut dil dukhaane wale the.
(In Hindi)
भला ग़मों से कहाँ हार जाने वाले थे
हम आँसुओं की तरह मुस्कुराने वाले थे
हमीं ने कर दिया ऐलान-ए-गुमरही वर्ना
हमारे पीछे बहुत लोग आने वाले थे
उन्हें तो ख़ाक में मिलना ही था कि मेरे थे
ये अश्क कौन से ऊँचे घराने वाले थे
उन्हें क़रीब न होने दिया कभी मैं ने
जो दोस्ती में हदें भूल जाने वाले थे
मैं जिन को जान के पहचान भी नहीं सकता
कुछ ऐसे लोग मिरा घर जलाने वाले थे
हमारा अलमिया ये था कि हम-सफ़र भी हमें
वही मिले जो बहुत याद आने वाले थे
“वसीम” कैसी तअल्लुक़ की राह थी जिस में
वही मिले जो बहुत दिल दुखाने वाले थे।
– Waseem Barelvi