Description:
Poem Title – Shree Ram Kaha Se Aayenge
Author Name – Rajat Lakhina
We wishes you all a Happy Dussehra! This Dussehra witness this interesting conversation between Ravan ji and Humankind in form of a hindi poem. It is a piece inspired by Gaurav Tripathi’s piece, “श्री राम अदालत में (Lord Ram in Court)”
Shree Ram Kaha Se Aayenge Poem
Machi khalbali nagar sabha me
Kaise dussehra manayenge
Banta ab har gali me Ravan,
Itne shri Ram Kaha se layenge
Tohfe gaye chadaave chade
Aur hue kayi matdaan….
Sabko pyaara tha apna Raavan,
Daav pe tha abhiman
Sabhapati ne fir sabko anokha hal btaya..
Sabha me apni sakshaat Raavan ji ko bulaya
Hey lankesh, fase duvidha me,
Nivaran aap kraoge…
Aap hi batao apni marzi,
Aap kaha jalna chahoge?
Halke se fir muskaaye raavan
Pucha kyun tum mujhe jalaoge….
Kya kiya apraadh aisa,
Kya tum mujhe bataoge??
Jawab mila aap gyani the
Mahagyani the,
Pandit the, maha pandit the,
Kintu ho gaya apko ahankaar tha..
Issliye agree ram chandra ne kiya
Apka ka sanghar tha
Bole raavan – apradhi hu mai
Ahankaar ka laga saccha aarop hai
Lekin jalate kyun ho ticket dilwa do!!
Suna hai waha humara scope hai
Par dhule doodh ke tum bhi na ho
Tumhara bhi lambi fair liste hai
Bhai Bhai ko chhod raha hai
ICU me sab rishtey hai
Bangle tere pade hai khaali
Aur vridh aasharm me bheed hai..
Dharti maa ko bhi samjhe baitha
Tu apni jaageer hai…
Ho gaye jab khatam jangal,
To tune insaan ko hi kaat dia…
Sarhade shayad kam pad gayi thi,
To jati me bhi baant dia…
Hath hathiyaar,
Aankh pe Patti
Aur mooh pe dharam ka naara hai…
Bhroon bhi ab hatya se darta,
Aisa shourya tumhara hai…
Itna samman tumne ki
Gusse me har naari hai
Maine to haran kiya tha
Tune to hadde bhulayi sari hai..
Ab tujhme, tujhme aur tujhme
Bhi hai raavan
Kis kis ko aap jalayenge
Basta ab har gali me Ravan
Itne shri ram kaha layenge…
Itne shri ram kaha se layenge……
–Rajat Lakhina