Krishna Se Jaake Keh Dungi Lyrics – Mohit Gaur
This is live version of original Song ‘Krishna Se Jaake Keh Dungi’ that performed by Mohit Gaur at stage in Sheher Cafe Jaipur.
Description:
Song Title – Krishna Se Jaake Keh Dungi
Singer – Mohit Gaur
Lyricist/Composer – Mohit Gaur
About This Song Story:-
(Ye gaana jo main aap sab ko sunane wala hoon ye gaana nahin hai ye conversation hai. Ek 12 saal ki bachchi aur uski maa ke bich ki. Abhi jo 12 saal ki bachchi aur maa hai ye apne jaipur, mumbai, delhi yahan ki nahin hai ek chhote se gaanv ki hai.
Wo gaanv jahan aaj bhi mitti se bartan ghulte hai, rotiyan chulhe pe sikti hai. Log bailgaadi se safar karte hain. Abhi jo 12 saal ki bachchi hai naa, iska bachapan mein naam kuch bhi rakha gaya ho usne ab apna naam radha rakh liya hai.
Radha !… puchho kyon?
Puchho naa…!
Prem hai, athaah prem, krishn prem, itna gahra prem ki pure gaanv ko keh chuki hai, “kanha ji tumhare bhagwan honge gaanv waalon” sun rahe ho gaanv waalon kanha ji tumhare bhagwan honge… more toh saiyaan hain.. saiyaan ! Aur jis din bhi milenge naa byaah kar lungi unse.
Ab inke gaanv se dur ek shahar hai mayanagri, aur mayanagri mein in dinon bahut bade mandir ka nirmaan hua hai. Uss mandir ke baare mein ek baat bahut famous hai, wahan par har Saturday ko kanha ji svayam aate hain aur har ek bhakt ko mil ke darshan dete hain, usse baatein karte hain.
Ab aisi baat kaise naa failegi bataao?… Faili aur mayanagri se fail ke gaanv mein pahunchi.
Guess kar sakte ho iss gaanv mein itne bade gaanv mein sabse pahle khabar kiske kaanon mein padi hogi?
Kiske kaanon mein padi hogi?
Radha ke… aur jaise usne khabar suni potli baandhi aur maa ko keh diya ye….)
Krishna Se Jaake Keh Dungi Lyrics
Krishna se jaake keh dungi
Tum ho more saiyaan, more saiyaan
Kanha ko jaake keh dungi
Tum ho more saiyaan, more saiyaan!
Maa kehti re pagli, re milte na voh thugti
Hai duniya uske naam pe, karti hai kaale kaam re uss mayanagri mein!
Aur dhoort hai saari nagri
Re baba pehen ke asli
Re choga firte nakli dil aur kaale man ki potli uss mayanagri mein!
Rakh lenge mera poora dhyaan re, Voh hain more saiyaan!
More saiyaan!
Vaari hoon mein tan man aur jaan re
Voh hain more saiyaan!
More saiyaan!
Maa tu sunle pagli, mein ho chuki hoon thugli!
Hai duniya usne meri, jiske naam saare kaam re uss mayanagri mein!
Aur dhoort hai saari nagri
Toh mein bhi pehen ke nakli
Re choga firungi asli
Rang mei rang jaaungi shyaam ki uss mayangri mein!
Aur fir krishna ko milke
Keh dungi o ji more saiyaan!
Byaah karungi tose shyaam re
Tum ho more saiyaan!
More saiyaan!
Krishna ko jaake keh dungi,
Tum ho more saiyaan!
Rakh lenge mera poora dhyaan re
Voh hain more saiyaan!
More saiyaan!