Difficult Words
सहर = सवेरा।
शजर = पेड़, वृक्ष, दरख़्त।
Chaand Ka Khwab Ujaalon Ki Nazar Lagta Hain
Chaand ka khwab ujaalon ki nazar lagta hain
Tu jidhar ho ke gujar jaaye khabar lagta hain
Us ki yaadon ne uga rakkhe hain suraj itne
Shaam ka waqt bhi aaye to sahar lagta hain
Ek manjar pe thahrne nahin deti fitrat
Umr bhar aankh ki kismat mein safar lagta hain
Main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hun
Pahli baarish mein nahaaya sa shajar lagta hain
Be-sahaara tha bahut pyaar koi puchhta kya
Tu ne kaandhe pe jagah di hai to sar lagta hain
Teri kurbat ke ye lamhein use raas aayein kya
Subah hone ka jise shaam se dar lagta hain.
(In Hindi)
चाँद का ख़्वाब उजालों की नज़र लगता हैं
तू जिधर हो के गुज़र जाए ख़बर लगता हैं
उस की यादों ने उगा रक्खे हैं सूरज इतने
शाम का वक़्त भी आए तो सहर लगता हैं
एक मंज़र पे ठहरने नहीं देती फ़ितरत
उम्र भर आँख की क़िस्मत में सफ़र लगता हैं
मैं नज़र भर के तेरे जिस्म को जब देखता हूँ
पहली बारिश में नहाया सा शजर लगता हैं
बे-सहारा था बहुत प्यार कोई पूछता क्या
तू ने काँधे पे जगह दी है तो सर लगता हैं
तेरी क़ुर्बत के ये लम्हें उसे रास आएं क्या
सुबह होने का जिसे शाम से डर लगता हैं
– Waseem Barelvi