Difficult Words
आदाब-ए-नुमाइश = सम्मान को दिखाना।
Kitna Dushwaar Tha Duniya Ye Hunar Aana Bhi
Kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi
Tujh se hi faasla rakhna tujhe apnana bhi
Kaisi aadab-e-numaish ne lagayi shartein
Phool hona hi nahin phool nazar aana bhi
Dil ki bigadi huyi aadat se ye ummid na thi
Bhul jaayega ye ek din tira yaad aana bhi
Jaane kab shahar ke rishton ka badal jaayein mizaaz
Itna aasaan to nahin laut ke ghar aana bhi
Aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
Tera hona bhi nahin aur tira kahlana bhi
Khud ko pahchaan ke dekhe to zara ye dariya
Bhul jaayega samundar ki taraf jaana bhi
Jaanne walon ki is bheed se kya hoga ‘Waseem’
Is mein ye dekhiyein koi mujhe pahchaana bhi.
(In Hindi)
कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भी
तुझ से ही फ़ासला रखना तुझे अपनाना भी
कैसी आदाब-ए-नुमाइश ने लगाईं शर्तें
फूल होना ही नहीं फूल नज़र आना भी
दिल की बिगड़ी हुई आदत से ये उम्मीद न थी
भूल जाएगा ये इक दिन तिरा याद आना भी
जाने कब शहर के रिश्तों का बदल जाए मिज़ाज
इतना आसाँ तो नहीं लौट के घर आना भी
ऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहीं
तेरा होना भी नहीं और तिरा कहलाना भी
ख़ुद को पहचान के देखे तो ज़रा ये दरिया
भूल जाएगा समुंदर की तरफ़ जाना भी
जानने वालों की इस भीड़ से क्या होगा ‘वसीम’
इस में ये देखिए कोई मुझे पहचाना भी।
– Waseem Barelvi