Difficult Words
तीरगी = अँधेरा।
समुंदर-कशी = समुद्र से खींचना।
Sab Ne Milaye Haath Yahan Tiragi Ke Saath
Sab ne milaye haath yahan tiragi ke saath
Kitna bada mazak hua raushni ke saath
Shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
Keeje mujhe kubool miri har kami ke saath
Tera khyaal, teri talab teri aarzoo
Main uamr bhar chala hun kisi raushni ke saath
Duniya mire khilaaf khadi kaise ho gayi
Meri to dushmani bhi nahin thi kisi ke saath
Kis kaam ki rahi ye dikhaawe ki zindagi
Vaade kiye kisi se, guzaari kisi ke saath
Duniya ko bewafai ka ilzaam kaun de
Apni hi nibh saki na bahut din kisi ke saath
Katre wo kuch bhi paayein ye mumkin nahin ‘Waseem’
Badhna jo chaahte hain samundar-kashi ke saath.
(In Hindi)
सब ने मिलाए हाथ यहाँ तीरगी के साथ
कितना बड़ा मज़ाक़ हुआ रौशनी के साथ
शर्तें लगाई जाती नहीं दोस्ती के साथ
कीजे मुझे क़ुबूल मिरी हर कमी के साथ
तेरा ख़्याल, तेरी तलब तेरी आरज़ू
मैं उम्र भर चला हूँ किसी रौशनी के साथ
दुनिया मिरे ख़िलाफ़ खड़ी कैसे हो गई
मेरी तो दुश्मनी भी नहीं थी किसी के साथ
किस काम की रही ये दिखावे की ज़िंदगी
वादे किए किसी से गुज़ारी किसी के साथ
दुनिया को बेवफ़ाई का इल्ज़ाम कौन दे
अपनी ही निभ सकी न बहुत दिन किसी के साथ
क़तरे वो कुछ भी पाएँ ये मुमकिन नहीं ‘वसीम’
बढ़ना जो चाहते हैं समुंदर-कशी के साथ।
– Waseem Barelvi