Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Difficult Words
गर्द = गर्दा, धूल।
सदक़ = भिक्षा, प्रसाद।
Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro
Mili hawaon mein udne ki wo saza yaaro
Ki main zameen ke rishton se kat gaya yaaro
Wo be-khyaal musafir mein rasta yaaro
Kahan tha bas mein mere us ko rokna yaaro
Mere qalam pe zamaane ki gard aisi thi
Ki apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
Tamam shahar hi jis ki talash mein ghum tha
Main us ke ghar ka pata kis se puchhta yaaro
Jo be-shumaar dilon ki nazar mein rahta tha
Wo apne bachhon ko ek ghar na de saka yaaro
Janab-e-mir ki khud-gharziyon ke sadqe mein
Miyan ‘Waseem’ ke kahne ko kya bacha yaaro.
(In Hindi)
मिली हवाओं में उड़ने की वो सज़ा यारो
कि मैं ज़मीन के रिश्तों से कट गया यारो
वो बे-ख़याल मुसाफ़िर में रास्ता यारो
कहाँ था बस में मिरे उस को रोकना यारो
मिरे क़लम पे ज़माने की गर्द ऐसी थी
कि अपने बारे में कुछ भी न लिख सका यारो
तमाम शहर ही जिस की तलाश में गुम था
मैं उस के घर का पता किस से पूछता यारो
जो बे-शुमार दिलों की नज़र में रहता था
वो अपने बच्चों को इक घर न दे सका यारो
जनाब-ए-मीर की ख़ुद-ग़र्ज़ियों के सदक़े में
मियाँ ‘वसीम’ के कहने को क्या बचा यारो।
– Waseem Barelvi