Difficult Word
सम्त – दिशा।
Safar Pe Aaj Wahi Kashtiyan Nikalti Hain
Safar pe aaj wahi kashtiyan nikalti hain
Jinhen khabar hai hawaayen bhi tez chalti hain
Meri hayaat se shayad wo mod chhut gaye
Baghair samton ke rahein jahan nikalti hain
Humare bare mein likhna to bas yahi likhna
Kahan ki shaamein hain kin mahfilon mein jalti hain
Bahut qarib huwe ja rahe ho socho to
Ki itni qurbatein jismon se kab sambhalti hain
‘Waseem’ aao in aankhon ko ghaur se dekho
Yahi to hain jo mere faisle badalti hain.
(In Hindi)
सफ़र पे आज वही कश्तियाँ निकलती हैं
जिन्हें ख़बर है हवाएँ भी तेज़ चलती हैं
मिरी हयात से शायद वो मोड़ छूट गए
बग़ैर सम्तों के राहें जहाँ निकलती हैं
हमारे बारे में लिखना तो बस यही लिखना
कहाँ की शामें हैं किन महफ़िलों में जलती हैं
बहुत क़रीब हुए जा रहे हो सोचो तो
कि इतनी क़ुर्बतें जिस्मों से कब सँभलती हैं
‘वसीम’ आओ इन आँखों को ग़ौर से देखो
यही तो हैं जो मिरे फ़ैसले बदलती हैं।
– Waseem Barelvi