Difficult Word
अना = मैं, अहम।
Tamam Umar Bade Sakht Imtihan Mein Tha
Tamam umar bade sakht imtihan mein tha
Wo fasla jo tere mere darmiyan mein tha
Paron mein simta to thokar mein tha zamane ki
Uda to ek zamana meri udan mein tha
Usi pe ho gaya qurban do dilon ka milaap
Wo jaaydaad ka jhagda jo khandan mein tha
Tujhe ganwa ke kayi bar ye khayaal aaya
Teri ana hi mein kuch tha na meri aan mein tha.
(In Hindi)
तमाम उम्र बड़े सख़्त इम्तिहान में था
वो फ़ासला जो तिरे मेरे दरमियान में था
परों में सिमटा तो ठोकर में था ज़माने की
उड़ा तो एक ज़माना मिरी उड़ान में था
उसी पे हो गया क़ुर्बान दो दिलों का मिलाप
वो जायदाद का झगड़ा जो ख़ानदान में था
तुझे गँवा के कई बार ये ख़याल आया
तिरी अना ही में कुछ था न मेरी आन में था।
– Waseem Barelvi