Tumhen Sab Yaad Aayega – Urdu Poetry | Atif Saeed

 

Love Quotes, love Poetry, Kabhi jo main nahi honga Tumhen sub yaad aayega

Poetry Credit:
Poetry Title – Tumhen Sab Yaad Aayega
Written By – Atif Saeed
Difficult Words:
Wisaal-O-Hijr – Union and separation
Lazzat – taste, flavour, deliciousness
Gosha – a corner, an angle, privacy
Tasbeeh – Garland,
Khaizi – Goodbye

Tumhen Sab Yaad Aayenge Poetry

Kabhi jo main nahi honga
Tumhen sub yaad aayega
Wo meri bekara chahat
Tumhare naam ki aadat
Wo mere Ishq ki shiddat
Wisaal-O-Hijr ki lazzat
Tumhari har ada ko
Shayari ka rang de dena
Khud apni khwahishon ko
Bebasi ka rang de dena
Tumhen yaad sub aayega

Wo meri aankh ka nam bhi
Wafaon ka woh mausum bhi
Junoon khaizi ka alam bhi
Meri har ek khushi gham bhi
Mera wo muskura kar dard ko
Dil se laga Lena
Tumhari khwab si aankhon ka
Har ansoo chura lena
Tumhen sab yaad aayega

Tumhari soch me rehna
Tumhari be rukhi sehna
Bhula kar ranjishain saari
Faqat apna tumhen kehna
Tumhare naam ko
Tasbeeh ki surat bana lena
Tumhare zikr se dil ka
Har ek gosha saja lena

Abhi to muskura kar tum
Meri baaton ko sunti ho
Magar yeh jaan lo Jaana
Tumhen sab yaad aayega
Kabhi Jo main nahi honga
Tumhen sub yaad aayega

                                                    –Atif Saeed