Credit:
Poetry Title – Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi
Written By – Ahmad Faraz
Difficult Words:
गिरह – गाँठ
गाम – कदम
लरज़ – डगमगाना
Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi – Poetry
ऐसे चुप हैं कि ये मंज़िल भी कड़ी हो जैसे
तेरा मिलना भी जुदाई की घड़ी हो जैसे
अपने ही साए से हर गाम लरज़ जाता हूँ
रास्ते में कोई दिवार खड़ी हो जैसे
कितने नादाँन हैं तेरे भूलने वाले
कि तुझे याद करने के लिए उम्र पड़ी हो जैसे
तेरे माथे की शिकन पहले भी देखी थी
मगर ये गिरह अब के मेरे दिल में पड़ी हो जैसे
मंज़िलें दूर भी हैं मंज़िलें नज़दीक भी हैं
अपने ही पांव में ज़ंजीर पड़ी हो जैसे
आज दिल खोल के रोए हैं तो यूँ खुश हैं ‘फ़राज़’
चंद लम्हों की ये राहत भी बड़ी हो जैसे।
– अहमद फ़राज़
Aise chup hain ki ye manzil bhi kadi ho jaise
Tera milna bhi judaai ki ghadi ho jaise
Apne hi saaye se har gaam larj jaata hun
Raaste mein koi divaar khadi ho jaise
kitne nadaan hain tere bhulne waale
Ki tujhe yaad karne ke liye umar padi ho jaise
Tere maathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar
Ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise
Manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain
Apne hi paanv mein zanjir padi ho jaise
Aaj dil khol ke roye hain to yun khush hain ‘Faraz’
Chand lamhon ki ye rahat bhi badi ho jaise
– Ahmed Faraz