Tujhe Sab Kuch Pata Tha – By Shekhar | For A Broken Heart | Poetry
Poem Credit:
Poetry Title – Tujhe Sab Kuch Pata Tha
Written By – Shekhar
Source By – Shekhar’s Poems.ircle
Tujhe Sab Kuch Pata Tha Poem
Tujhe khud se jyada main chahata raha
Aur tu nafrat ban kar wafa, nibhati rahi
Mai phulon ko hasna sikhata raha,
Aur tu kaante ban kar mujhe rulati rahi..
Mera waqt tujhme aur tera kisi aur mein,
Mashroof rehne laga
Aur meri aankhein, mujhe dhokha dekar,
Har raat bewaqt, sulaati rahi..
Tujhe ab kya kahu main,
Tujhe sab kuch pata tha
Aur phir bhi, tu na samajh ban kar
Mujhe tadpati rahi..
Tadpati rahi…
Kuch baki ho mujhme, dhoond lena abhi,
Baad me, to main apna bhi hissab nahi rakhta..
Mera jo bhi baaki ho tujme,
Wo main manguga nahi
Nafrat apne liye, kisi aur se
Mai liya nahi karta..
Mai humaare sapno ke, raaste banata raha
Aur tu rukawat ban kar,
Mere khawabo ko toddti rahi..
Tujhe ab kya kahu main,
Tujhe sab kuch pata tha
Aur phir bhi, tu na samajh ban kar
Mujhe tadpati rahi..
Tadpati rahi…
Khawaisho ko jyada panah, nahi deni chahiye
Ye tujhse sikha hai maine,
Sapne be-hisaab nahi dekhne chahiye,
Jo aaj tak kiya hai maine..
Tere jhooth ko sach maan ne ke alawa,
Koi raasta baaki kahan tha
Khud ko zindda rakhne ke liye,
Ye saare zeher, piye the maine..
Mai tere har jazbbat ko mehsoos karta raha
Aur tu mere har ehsaas par tezaab fekati rahi..
Tujhe ab kya kahu main,
Tujhe sab kuch pata tha
Aur phir bhi, tu na samajh ban kar
Mujhe tadpati rahi..
Tadpati rahi…