Wo Ghar Bhi Koi Ghar Hai Jahan Bachchiyaan Na Ho – Bashir Badr | Ghazal Poetry | Shayari
Poetry Credit:
Poetry Title – Wo ghar bhi koi ghar hai jahan bachchiyaan na ho
Written By – Bashir badr
Wo ghar bhi koi ghar hai jahan bachchiyaan na ho
वो शाख़ है न फूल, अगर तितलियाँ न हों
वो घर भी कोई घर है जहाँ बच्चियाँ न हों
पलकों से आँसुओं की महक आनी चाहिए
ख़ाली है आसमान अगर बदलियाँ न हों
दुश्मन को भी ख़ुदा कभी ऐसा मकाँ न दे
ताज़ा हवा की जिसमें कहीं खिड़कियाँ न हों
मै पूछता हूँ मेरी गली में वो आए क्यों
जिस डाकिए के पास तेरी चिट्ठियाँ न हों
–बशीर बद्र
Wo shaakh hai na phool, agar titliyaan na ho
Wo ghar bhi koi ghar hai jahan bachchiyaan na ho
Palkon se aansoon ki mahak aani chaahiye
Khaali hai aasman agar badliyaan na ho
Dushman ko bhi khuda kabhi aisa makan na de
Taaza hawa ki jisme kahin khidkiyaan na ho
Main poochhata hoon meri gali me wo aaye kyon
Jis daakiye ke paas teri chitthiyan na ho
–Bashir Badr