Bashir Badr – Log Toot Jate Hain
Difficult Words:
फ़ाख़्ता = पंडुक नामक पंक्षी।
Log Toot Jate Hain
लोग टूट जाते हैं, एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते, बस्तियाँ जलाने में
और जाम टूटेंगे, इस शराबख़ाने में
मौसमों के आने में, मौसमों के जाने में
हर धड़कते पत्थर को, लोग दिल समझते हैं
उम्र बीत जाती है, दिल को दिल बनाने में
फ़ाख़्ता की मजबूरी ,ये भी कह नहीं सकती
कौन साँप रखता है, उसके आशियाने में
दूसरी कोई लड़की, ज़िंदगी में आएगी
कितनी देर लगती है, उसको भूल जाने में ।
– बशीर बद्र
Log toot jaate hain, ek ghar banaane mein
Tum taras nahin khate, bastiyaan jalaane mein
Aur jaam tootenge, is sharab-khaane mein
Mausmon ke aane mein, mausmon ke jaane mein
Har dhadakte patthar ko, log dil samajhte hain
Umar beet jaati hain, dil ko dil banaane mein
Fakhta ki majboori, ye bhi kah nahin sakti
kaun saanp rakhta hain, uske aashiyane mein
Doosri koi ladki, zindagi mein aayegi
kitni der lagti hain, usko bhool jaane mein
– Bashir Badr