Description:
Poetry Title – Gairon Se Mulaqatein Aam Hogayi
Written By – Saru
Source By – The Social House
Gairon Se Mulaqatein Aam Hogayi Poetry
ये मोहब्बत के खेल तो तकदीरों के हैं
क्या यही उम्मीद पा लूं तेरे रुक जाने की
तुझसे ज्यादा ठहराव तो तेरी तस्वीरों में है
मैं जरा मशरूफ क्या हुआ,
गैरों से मुलाक़ाते उसकी आम हो गई
फिर हुआ यूं की मेरे हिस्से की शामें
किसी और के नाम हो गई
वो पलकें बिछाए रखती थी एक दीदार को मेरे
मेरी आहट सुन छत पर आ जाया करती थी
आज सौ बार गली से मैं गुजरा उसकी
मानो बहरी वो इस बार हो गई
मैं जरा मशरूफ क्या हुआ,
गैरों से मुलाक़ाते उसकी आम हो गई
जो शामें तू अपने यार के साथ गुजारती है
वो मैं तनहा काट देता हूं
सुनता था कि तू हाथ थाम किसी गैर का चलती है
आंखों से देखा तो अपनी यकीन आया
कि जो अफवाह थी हकीकत आज हो गई
मैं जरा मशरूफ क्या हुआ,
गैरों से मुलाक़ाते उसकी आम हो गई
बेहतर होगा कि मैं भी तुझसे किनारा कर लूं
मैं तेरा फिजूल इंतजार छोड़ कोई इश्क दोबारा कर लूं
तुझे मोह लिया चंद तौफों ने और खूबसूरत चेहरों ने
क्या कहना कि अब तेरी नियत ही खराब हो गई
मैं जरा मशरूफ क्या हुआ,
गैरों से मुलाक़ाते उसकी आम हो गई
डर रहता है मुझे कहीं तू खफा तो नहीं
ज़िक्र नहीं करता मैं अपनी फिकर का
कहीं इस बात से तुझे गिला तो नहीं
तू हर खूबसूरत पर दिल हार देता है
जैसे तूने कभी किसी को छुआ ही नहीं
खैर बहलाऊ मैं दिल तेरा
ऐसी मुझमें कोई अदा तो नहीं
रूठ जाऊं तुझसे कभी इस चाह में की तू मनाएं
यूं तो मैं हुआ तुझसे कभी खफा ही नहीं
पर तू ने पलटकर ना देखा
मानो जैसे तू हमसे कभी मिला ही नहीं
लाखों है हुस्न-ए-सबाब इस जमाने में
तेरे बाद पर हमने, किसी को देखा ही नहीं
खारे पानी सा हूं मैं
रंगो में कभी घुला ही नहीं
मैं यूं कभी किसी से मिला ही नहीं।
– सरू
Ye mohabbat ke khel to takdiron ke hain
Kya yahi ummid paa lun tere ruk jaane ki
Tujhse jyaada thahraav to teri tasviron mein hai
Main jara mashruf kya hua,
Gairon se mulakaate uski aam ho gayi
Phir hua yun ki mere hisse ki shaamein kisi aur ke naam ho gayi
Wo palkein bichhaaye rakhti thi ek didaar ko mere
Meri aahat sun chhat par aa jaaya karti thi
Aaj sau baar gali se main gujra uski
Maano bahri wo is baar ho gayi
Main jara mashruf kya hua,
Gairon se mulakaate uski aam ho gayi
Jo shaamein tu apne yaar ke saath gujaarati hai
Wo main tanha kaat deta hun
Sunta tha ki tu haath thaam kisi gair ka chalti hai
Aankhon se dekha to apni, yakin aayaa
Ki jo afwaah thi haqiqat aaj ho gayi
Main jara mashruf kya hua,
Gairon se mulakaate uski aam ho gayi
Behatar hoa ki main bhi tujhse kinaara kar loon
Main tera fizul intezaar chhod koi ishk dobaara kar loon
Tujhe moh liya chand taufon ne aur khubsurat chehron ne
Kya kahna ki ab teri niyat hi kharaab ho gayi
Main jara mashruf kya hua,
Gairon se mulaakaate uski aam ho gayi
Dar rahta hai mujhe kahin tu khafa to nahin
Zikr nahin karta main apni fikar ka
Kahin is baat se tujhe gila to nahin
Tu har khubsurat par dil haar deta hai
Jaise tune kabhi kisi ko chhuaa hi nahin
Khair bahlaau main dil tera aisi mujh mein koi ada to nahin
Ruthh jaaun tujhse kabhi is chaah mein ki tu manaayein
Yun to main hua tujhse kabhi khafa hi nahin
Par tu ne palat kar naa dekha
Maano jaise tu humse kabhi mila hi nahin
Laakhon hai husn-e-sabaab is zamaane mein
Tere baad par humne, kisi ko dekha hi nahin
Khaare paani saa hun main
Rango mein kabhi ghula hi nahin main yun kabhi kisi se mila hi nahin.
– Saru