Credit:
Poetry Title – Sher-o-Shayari Dil Se
Written By – Pardeep Kumar
Written By – Pardeep Kumar
Source By – The Social House
Sher-o-Shayari Dil Se – Poetry
अपने दर्द का ना तुमको
मैं पता जरा दूंगा
अपने दर्द का ना तुमको
मैं पता जरा दूंगा, तुम पूछलोगें हाल
और मैं मुस्कुरा दूंगा
होठों से तो कह दिया है तुमने अलविदा
आंखों से कह रहे हो थहरने के लिए..
कुछ अलग करने की चाह में
कुछ अलग करने की चाह में
हम ये क्या कर गए
जीना था जिसके वास्ते उस पे ही मर गए
और कुछ तो दिमाग मेरे इन पैरों में भी है
कुछ तो दिमाग मेरे इन पैरों में भी है
होश तो नहीं था पर हम अपने ही घर गए
होती है कयामत मिला सबूत
होती है कयामत मिला सबूत
पहन आई जब वो काला सूट
लाखों मर गए एक बूंद से
और हम पी गए भर के घूट
वो जो बोले सब सच लगता,
बाकी सारी दुनिया झूठ
बाकी सारी दुनिया झूठ
और खुद में खुदा को तलाशा मैंने
उसकी जगह था तु मौजूद
उस चांद में काले दाग के जैसा
उस चांद में काले दाग के जैसा
हां ऐसा ही है मेरा वजूद
इनकी बदकिस्मती को मात नहीं होगी
किसानों के हिस्से में बरसात नहीं होगी
किसानों के हिस्से में ये बरसात नहीं होगी
और तुम चाहे अपना दिल खोल के रख दो
शख्सियत छोटी है तो, तुमसे बात नहीं होगी।
– प्रदीप कुमार
Apne dard ka na tumko
Main pata jara dunga
Apne dard ka na tumko
Main pata jara dunga, tum puchhlogen haal
Aur main muskura dunga
Hothon se to kah diya hai tumne alavida aankhon se kah rahe ho thaharne ke lia..
Kuch alag karne ki chaah mein
Kuch alag karne ki chaah mein
Hum ye kya kar gaye
Jeena tha jiske waaste us pe hi mar gaye
Aur kuch to dimaag mere inn pairon mein bhi hai
Kuch to dimaag mere inn pairon mein bhi hai
Hosh to nahin tha par hum apne hi ghar gaye
Hoti hai kayaamat mila sabut
Hoti hai kayaamat mila sabut
pahan aai jab vo kaala suit
Laakhon mar gaye ek bund se
Aur hum pi gaye bhar ke ghut
Vo jo bole sab sach lagta,
Baaki saari duniya jhuth
Baaki saari duniyaa jhuth
Aur khud mein khuda ko talaasha maine uski jagah tha tu maujud
Us chaand mein kaale daag ke jaisa
Us chaand mein kaale daag ke jaisa
Haan aisa hi hai mera vajud
Inki badakismti ko maat nahin hogi Kisaanon ke hisse mein barsaat nahin hogi
Kisaanon ke hisse men ye barsaat nahin hogi
Aur tum chaahe apna dil khol ke rakh do
Shakhsiyat chhoti hai to, tumse baat nahin hogi…
– Pardeep Kumar