How’s the Josh? Poetry | Sangita Yaduvanshi | Pulwama Attack | Tribute | The Social House Poetry
About this Poem “How’s The Josh?”:-
The poem is a tribute to the CRPF jawans who have become martyrs, during the attack in pulwama, written and performed by Sangita Yaduvanshi.
How’s the Josh?
मेरी कविता का शीर्षक देश की राजनीति से सवाल पूछता है कि How’s The Josh… ?
अब इन्हें कुछ बताते है कि वो शहीद है ना
वो मेरे सपनों में आते हैं और क्या कहते हैं कि……
ये सफर हमारी जिंदगी का
आखरी होगा सोचा नहीं था
मेरे मेहबूब की बालियों की छनक
अब भी मेरे कानों में थी
उन्हें मैंने रखा नहीं था
मेरे बाप के जिंदगी भर की कमाई में
मेरे सिवा शायद कुछ और नहीं था
और असल में जो भारत को नुकसान हुआ है
वो होना नहीं था
हमारी लड़ाई ना मुल्क से है ना जहांन से है
बस हमारी लड़ाई तो इस देश की सियासती मैदान से है
ये वक्त-वक्त पर अपनी औकात दिखा दिया करते हैं
और जब देश के लिए जान देने की बात आती हैं
तो ये फौज की भर्तियां बढ़ा दिया करते हैं
अब वक्त आने पर न कोई पक्षपात होगा
न कोई कसर बाकी हो
हम फौजियों को कुछ दिन की छुट्टी दो साहब
और इन नेताओं की सरहद पर तैनाती हो
वादा किया था की इस देश की रक्षा के लिए
मौसम की हर एक जिद्द से लड़ जाऊंगा
बहन की शादी के लिए तो छुट्टी मंजूर कर दी सरकार ने
पर अब वो किस हाल में है..? ये कैसे जान पाऊंगा
ये देश अपने आंखों से टपकते उस लहू को कैसे रोकेगा
जब 18 साल के फौजी का शव चिथड़ो में बिखरा हुआ
बूढ़े बाप को बटोरते देखेगा
अब ये डीपी बदलना छोड़ो
सड़कों पर निकलना छोड़ो
क्योंकि तुम्हारी नाराजगी देश का हाल थोड़ी बदल पाएगी
तुम्हे क्या पता ये सरकार है
एक कुर्सी के लिए न जाने और कितना गिर जाएगी
यहां ये राजनीति अपने फायदे के लिए
आतंक की चिंगारीओ को हवा दिया करते हैं
और उस बाप की जिंदगी भर की कमाई मुआवजों में लौटा दिया करते हैं
इनके इन वादों में नेक इरादों में
अब कुछ नहीं रखा है
कोई जा के समझाओ उन्हें की
उस तिरंगे में और उस कफ़न में
एक फौजी नहीं बल्कि पूरा देश लिपटा है…!
– संगिता रघुवंशी
Meri kavita ka shirshak desh ki rajneeti se sawal puchhta hai
Ki How’s The Josh… ?
Ab inhe kuch batate hai ki
Wo shahid hai na wo mere sapnon mein aate hain
Aur kya kahte hain ki….
Ye safar hamaari zindagi ka
Aakhari hoga socha nahin tha
Mere mehboob ki baaliyon ki chhanak
Ab bhi mere kaanon mein thi
Unhein maine rakha nahin tha
Mere baap ke zindagi bhar ki kamaai mein
Mere siwa shayad kuch aur nahin tha aur asal mein jo bharat ko nuksaan hua hai
Wo hona nahin tha
Humaari ladaai na mulk se hai na jahan se hai
Bas humaari ladaai to iss desh ki siyaasti maidan se hai
Ye waqt-waqt par apni aukaat dikha diya karte hain
Aur jab desh ke liye jaan dene ki baat aati hain
To ye fauj ki bhartiyan badha diya karte hain
Ab waqt aane par na koi pakshpaat hoga
Na koi kasar baaki ho
Ham faujiyon ko kuch din ki chhutti do sahab
Aur in netaaon ki sarahad par tainaati ho
Wada kiya tha ki iss desh ki raksha ke liye
Mausam ki har ek jidd se lad jaunga
Bahan ki shaadi ke liye to chhutti manjoor kar di sarkar ne
Par ab wo kis haal mein hai..? ye kaise jaan paaunga
Ye desh apne aankhon se tapakte uss lahu ko kaise rokega
Jab 18 saal ke fauji ka shav chithado mein bikhra hua
Budhe baap ko batorte dekhega
Ab ye DP badalna chhodo
Sadkon par nikalna chhodo
Kyonki tumhari narajagi desh ka haal thodi badal payegi
Tumhe kya pata ye sarkaar hai
Ek kursi ke liye na jaane aur kitna gir jayegi
Yahan ye rajneeti apne faayde ke liye
Aatank ki chingaariyon ko hawa diya karte hain
Aur uss baap ki zindagi bhar ki kamaai muawajon mein lauta diya karte hain
Inke in waadon mein nek iraadon mein
Ab kuch nahin rakha hai
Koi ja ke samjhaao unhein
Ki uss tirange mein aur us kafan mein
Ek fauji nahin balki pura desh lipta hai…!
– Sangita Yaduvanshi