Tere Jane Ke Baad by Shriya | Heartbreak | The Social House Poetry
Tere Jane Ke Baad
मत पूछ हमसे की क्यो नही सवालात किए
तुझसे तेरे चले जाने पर
क्योंकि इस बात से तो हम भी वाकिफ थे
कि हमसे बेहतर इश्क़ के हकदार हो तुम
यूं तो मैं हजारों लफ्ज़ तुम्हारी तारीफ में कह दूं
तो भी कम लगते हैं
शायद इस कायनात में वो लफ्ज़ ही नहीं जो तुम्हारे तारीफ में बयां कर सकूं
तुम्हें याद तो होंगे ना वो हसीन लम्हें,
वो छुप-छुप कर मिलना, और वही पुराने कसमें वादे
उम्मीद है तुमसे कि नहीं दोहराओगें,
किसी दूसरी मोहब्बत के साथ
यूं तो ये जिंदगी बहुत लंबी है
मगर हमारे रिश्ते की उम्र कम थी
वो खूबसूरत दिन और वो हसीन रातें
मत भूलना तुम कभी
नहीं थी खबर कि इश्क़ करना यूं भारी पड़ेगा
आधे रास्ते में ही साथ छोड़ना पड़ेगा
ना चूनती इस मोहब्बत की राह को मैं
अगर खबर होती कि आखिर में इस टूटे दिल के सहारे जीना पड़ेगा
तुम्हारे पहले इश्क होने का मुझे बेहद गुरूर है मगर मलाल भी बराबरी का है
मगर किस्मत ने कुछ कम ही साथ दिया मेरा
वो पहला इश्क सच्चा जरूर होता है
मगर आखरी हमेशा साथ रहता है
याद तुम्हारी हर रोज आती है
मगर हर काम में दखल दे जाती है
अब इस दखलअंदाजी से भी इश्क है मुझे
क्योंकि अब मेरे पास तुम्हारी याद ही तो बाकी है
वो गर्मिया और वो बरसात
ये दो ही मौसम गुजारे थे साथ
अब तो हर मौसम बेरुखी का है
तुम जो नहीं हो पास
मत दोहराना वो बातें फिर से जो मेरे साथ बिताए और बतलाए थे
एक नई आशिकी की शुरुआत करना
हम भी तो देखें और कितने शायर आएंगे
कुछ बातें तुम्हारी मुझे याद आती हैं
आंखों को मेरी नम कर जाती हैं
अपना हाल सुनाने को कोई है नहीं,
बस चेहरे पर मुस्कान है
और ज़िन्दगी यूं ही आगे बढ़ जाती हैं
खुली है ये बाहें लौट आना जब याद आए हमारी
मत समझना गलत मुझे, मैं आज भी हुं तुम्हारी
– ष्रिया
Mat puch hamse ki kyo nahi Sawalaat kiye
Tujhse tere chale jaane par
Kyonki is baat se to ham bhi waqif the ki hamse behatar ishq ke hakdaar ho tum
Yun to main hazaron lafz tumhari tarif mein kah doon
To bhi kam lagte hain
Shayad is kaynaat mein wo lafz hi nahin
Jo tumhare taarif mein bayaan kar sakoon
Tumhein yaad to honge naa wo hasin lamhein,
Wo chhup-chhup kar milna, aur vahi purane kasmein waade
ummid hai tumse ki nahin dohraogein
Kisi dusari mohabbat ke saath
Yun to ye zindagi bahut lambi hai
Magar hamare rishte ki umr kam thi
Wo khubsurat din aur wo hasin raatein
Mat bhoolna tum kabhi
Nahin thi khabar ki ishq karna yun bhari padega
Aadhe raaste mein hi saath chhodna padega
Naa chunti is mohabbat ki raah ko main
Agar khabar hoti ki aakhir mein is tute dil ke sahaare jinaa padega
Tumhare pahle ishq hone ka mujhe behad guroor hai
Magar malaal bhi baraabri ka hai
Magar kismat ne kuch kam hi saath diya mera
Wo pahla ishq saccha jaroor hota hai
Magar aakhri hamesha saath rahta hai
Yaad tumhari har roj aati hai
Magar har kaam mein dakhal de jaati hai
Ab is dakhal-andaaji se bhi ishq hai mujhe
Kyonki ab mere paas tumhari yaad hi to baaki hai
Wo garmiya aur wo barsaat
Ye do hi mausam guzare the saath
Ab to har mausam berukhi ka hai
Tum jo nahin ho paas
Mat dohrana wo baatein phir se
Jo mere saath bitaye aur batlaye the ek nayi aashiqi ki shuruat karna
Ham bhi to dekhein aur kitne shayar aaange
Kuch baatein tumhari mujhe yaad aati hain
Aankhon ko meri nam kar jaati hain
Apna haal sunaane ko koi hai nahin,
Bas chehre par muskaan hai
Aur zindagi yun hi aage badh jaati hain
Khuli hai ye baahein laut aana jab yaad aaye hamari
Mat samajhna galat mujhe main aaj bhi hoon tumhari
– Shriya