Teri Fikr Mein Khud Ko Bhula Deta Hun Poetry | Vikas Ahlawat | The Social House Poetry | Love Poem

Beautiful Love Poem 'Teri Fikr Mein Khud Ko Bhula Deta Hun' written and Performed by Vikas Ahlawat and Poetry Lable is 'The Social House'
Beautiful Love Poem ‘Teri Fikr Mein Khud Ko Bhula Deta Hun’ written and Performed by Vikas Ahlawat and Poetry Lable is ‘The Social House

Teri Fikr Mein Khud Ko Bhula Deta Hun

तेरी फिक्र में अक्सर खुद को भुला देता हूं
मैं तुझे हंसाने के लिए खुद को रुला देता हूं
सारी कायनात तेरे आगे अनजान लगती है
एक तू ही तो है जिसमें मेरी जान बस्ती है
और तेरी हर गलती पर भी
दिल तुझसे गुस्सा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता

तुझे देखने भर से दिनभर की थकान उड़ जाती है
चाहे जैसे भी हो हालात
चेहरे से एक मुस्कान जुड़ जाती है
तेरा मुझे कई बार नजर अंदाज करने पर भी
ये दिल तुझसे रुसवा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता

मेरे हर ख़्याल में तू ही तो घर करता है
क्यों आखिर मेरा ही दिल तुझे खोने से डरता है
मैं लोगों को तेरे किस्से सुनाने में खो जाता हूं
मैं रात बस तुझे याद करता-करता सो जाता हूं
क्या ये सब देख के भी तुझे दुख सा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता

मुझसे जरूरी इस दुनिया में
तुझे हर कोई लगता है
तू चैन से सो जाती है और
‘Ask’ तेरी फिकर में हर रात जगता है
(यहां Ask writter का नाम हैं।)
तेरा लास्ट सीन तेरी बातों से
कुछ अलग ही कहानी बताता है
सब मालूम होता है मुझे पर
दिल सिर्फ चुप कर जाता है
मुझसे आंखें मिला के कुछ कहे तू
मंजर अब ऐसा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता
आखिर तू क्यों मुझ सा नहीं होता 

लो ‘Aks’ उन्हें मालूम भी नहीं
और तुम इश्क के सुरूर में थे
उन्हें तुमसे मोहब्बत तक नहीं
और तुम दीवानगी के जुनून में थे।

                                                – विकास अहलावत


Teri fikr mein aksar khud ko bhula deta hun
Main tujhe hansane ke liye khud ko rula deta hun
Saari kaynaat tere aage anjaan lagti hain
Ek tu hi to hai jisme meri jaan basti hain
Aur teri har galti par bhi dil tujhse gussa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota

Tujhe dekhne bhar se dinbhar ki thakan udd jaati hain
Chaahe jaise bhi ho halaat
Chehre se ek muskaan jud jaati hain
Tera mujhe kayi baar najar andaaj karne par bhi
Ye dil tujhse ruswa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota

Mere har khyaal mein tu hi to ghar karta hain
Kyon aakhir mera hi dil tujhe khone se darta hain
Main logon ko tere kisse sunaane mein kho jaata hoon
Main raat bas tujhe yaad karta-karta so jaata hoon
Kya ye sab dekh ke bhi tujhe dukh sa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota

Mujhse jaroori iss duniya mein
Tujhe har koi lagta hain
Tu chain se so jaati hai aur
‘Aks’ teri fikr mein har raat jagta hain
(Yahan ‘Aks’ writter ka name hain.) Tera last seen teri baaton se kuch alag hi kahani batata hain
Sab maloom hota hai mujhe par dil sirf chup kar jata hain
Mujhse aankhein mila ke kuch kahe tu
Manjar ab aisa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota
Aakhir tu kyon mujh sa nahin hota.

Lo ‘Aks’ unhein maloom bhi nahin
Aur tum ishq ke suroor mein the
Unhein tumse mohabbat tak nahin
Aur tum deewangi ke junoon mein the.

                                                 – Vikas Ahlawat (Aks)