Jihalaton Ke Andhere Mita Ke Laut Aaya – Rahat Indori | Ghazal And Shayari

Jihalaton Ke Andhere Mita Ke Laut Aaya | Rahat Indori

'Jihalaton Ke Andhere Mita Ke Laut Aaya' written and performed by Rahat Indori. This poetry is best Ghazal and Shayari of Rahat Indori.
शब्द अर्थ
जिहालत  – अज्ञानता, मूर्खता।
कासा – कटोरा।

Jihalaton Ke Andhere Mita Ke…

जिहालतों के अँधेरे मिटा के लौट आया 
मैं आज सारी किताबें जला के लौट आया 

वो अब भी रेल में बैठी सिसक रही होगी 
मैं अपना हाथ हवा में हिला के लौट आया 

खबर मिली है के सोना निकल रहा है वहां 
मैं जिस ज़मीन पे ठोकर लगा के लौट आया

वो चाहता था के कासा खरीद ले मेरा 
मैं उसके ताज की कीमत लगा के लौट आया।

                                           – राहत इंदौरी

Jihalaton ke andhere mitaake laut aaya 
Main aaj saari kitabein jala ke laut aaya ,

Wo ab bhi rail me baithi sisak rahi hogi 
Main apna haath hawa me hila ke laut aaya 

Khabar mili hai ke sona nikal raha hai waha 
Main jis zameen pe thokar laga ke laut aaya 

Wo chahta tha ke kasa khareed le mera 
Main uske taj ki keemat laga ke laut aaya. 

                                          – Rahat Indori