Ab Baat Nahi Hoti Lyrics | Rakaysh Kumar | The Social House Poetry


Description:

Plateform – The Social House Poetry
Author Name – Rakaysh Kumar


Ab Baat Nahi Hoti Poetry

Ki ab humari mulakat nahi hoti
Din chhote hai wo lambi raat nahi hoti,
Baate to hoti hai par wo baat nahi hoti
Mai so raha hu
Mujhe ho sake to jaga dena,
Mile aazadi kahi to bata dena
Kafi waqt hua raah taak raha hu
Har darwaje khidaki har roshandan se jhaak raha hu
Kayi chehre nazar aate hai
Kuch bhukhe kuch mayush 
kuch lahuluhan nazar aate hai
Ye kaid mujhe meri samjh nahi aati
Tu aazad hai
Meri aazadi mujhe nazar nahi aati
Mai tujhse tu mujhse hi to juda hai
To kyo aankhe mund rakhi kyo sach se juda hai
Chal chhod….
Chal chhod kuch naya rukh badlte hai
Mujhe chhod teri Oor chalte hai
Mai batata hu tu kaun hai
Tujhe tujhse milata hu
To sun dhyan se..
Ran hai ye,
Arjun hai tu
Madhya uske khada hai tu
Haath me dhanush liye kis soch me pada hai tu,
Duvidha hai adharm ki
Satya ka sanghaar hai,
Tod iss nidra ko tu
Yahi geeta saar hai
Prem hi hai karam tera
Yahi tera samman hai
Yahi teri ved hai garnth hai
Yahi teri aajaan,
Na ye gitaa na ye kuran
Na mai krishan Na fakir hu
Dekh gaur se aankh khol ke
Mai tera Zameer hu
Haa mai tera Zameer hu…
Haa tera..
Aur mai so raha hu ho sake to jaga dena
Mile aazadi kahi to bata dena
Ki ab humari mulakat nahi hoti
Din chhote hai wo lambi raat nahi hoti
Baate to hoti hai par wo baat nahi hoti
                                     

                                        —Rakaysh Kumar