“Halak Sukha Do Saalon” Poetry Lyrics | Shivashish Sinha | The Habitat


"Halak Sukha Do Saalon" – Poetry | Shivashish Sinha | Hindi Poetry | The Habitat ,poetry on rape

The number of rape cases filed in India has increased by 277% in five years. This poem is an emotionally charged and powerful call towards having zero tolerance towards physical abuse.

Credit:
Poetry Title – “Halak Sukha Do Saalon Ki”
Written By – Shivashish Sinha

Poetry is a way for Shivashish Sinha to paint his version of a portrait of society. An engineer by profession, he derives great joy out of writing.

“Halak Sukha Do Saalon Ki” Poetry

Main aap sab se ek sawaal karna chahta hoon…
Sawaal yeh hai ke agar iss duniya ko
Do vargon mein baat diya jaaye,
Aadmi aur aurat, men aur women
Toh aaj kis ki izzat sankat mein hai?
Kyun ki attyachar toh ladkiyon pe ho rahe hai
Lekin be-abaru hum ho rahe hai
Jitni dafaa koi ladki raat ke andhere mein
Apne ghar ke bahar kadam nikalne mein darti hai
Utni baar badnaami ki chheete apne daaman pe girti hai
Toh yaha se main apni aavaaz
Unn ladkon tak pahuchana chahunga…
Ke, kahi bheed mein ladki ke tan par yun haath phiraane walon ki
Beech sadak par maar maar kar
Halak sukha do saalon ki..(2)
Jin neechon ki harkat se yeh mard kom sharminda hai
Aree ek toh raavan maara gaya,
Kitne hi vehshi zinda hai
Jis desh mein dharati ko bhi hum
Jis desh mein dharati ko bhi hum
Maa ke darje par rakhte hai
Toh devi ke sakshaat roop ko
Kaise jhuthla sakte hai
Kisi nukkad pe ladki ko chhed ke
Daant dikhaane walon ki
Beech sadak par maar maar kar
Halak sukha do saalon ki
Main nahi kehta
Main nahi kehta ke har ladki ko
Maa ya behan sa maano tum
Par unke bhi adhikaar hai
Kuch itni si baat toh jaano tum..(2)
Aur kya khaakh hai isme mardgiri
Kya khaakh hai isme mardgiri
Jo tum aurat ko sataate ho
Paison ke moh me andhe ho,
Khud ki biwi ko jalaate ho?….(2)
Dahej ke khaatir khud ki
Bahu ko aag lagaane walon ki
Beech sadak par maar maar kar
Halak sukha do saalon ki
Sab mard ek se hote hai
Sab mard ek se hote hai
Ye sach hai..
Par yeh mard kaha hai
Jis nirmam rape ki ghatna par
Hum rote, inhe dard kaha hai…(2)
Aur aree suno ab bahut hua
Ab paas tumhaare waqt nahi hai
Sab jaan ke bhi chup baith rahe hum
Mard hai aise shaks nahi hai…(2)
Uske kapdon ka dosh tha sab
Uske kapdon ka dosh tha sab yeh
Wajah bataane walon ki
Beech sadak par maar maar kar
Halak sukha do saalon ki…(2)
                                        –Shivashish Sinha