Koi Khawab Jala Hoga Lyrics | Ravi ‘Chaand’ Punia | Urdu Poetry | YourQuote Handpicked

Description: 
Poetry Title – Koi Khawab Jala Hoga
Author Name – Ravi ‘Chaand’ Punia
Plateform – YourQuote Handpicked

Koi Kuawab Jala Hoga Lyrics

Subah subah raakh mili mujhe sirhane par jaroor nind me koi khawab jala hoga…(3)
Pakki sadak pe mile kisi ko kisi ke pairon ke nishan,
Sab chhod chhad ke koi paaw patak ke chala hoga.
Maikhane ke bahar mile kuch saafe aur kalam dawaat,
Jaroor koi haara hua aashiq shayar bana hoga.
Subah subah raakh mili mujhe sirhane par jaroor nind me koi khawab jala hoga…
Bahut jor se baras raha hai baadal aaj mere shahar me,
Uss paar jaroor koi masuam bilak raha hoga.
Aaj dhup bahut hai ‘chand’ tere shahar me,
Lagata hai shaher me kal kohra ghana hoga.
Wo khilone dekh kar aankh fer leta hai bas,
Wo bachha haal hi me bada hua hoga.
Kuch nami si hai ret me mere aagan ki,
Jaroor koi Shera sailab hua hoga.
Subah subah raakh mili mujhe sirhane par jaroor nind me koi khawab jala hoga…
Bahut salike se feka hai kisi ne apne kaleje ko,
Wo jo kabhi shital tha
Wo kal hi ajaab hua hoga.
Kisi ko bachane nikale the aur kisi ko mar baithe,
Aise hi koi sharif gunahgar hua hoga
Subah subah raakh mili mujhe sirhane par jaroor nind me koi khawab jala hoga.
                              
                                 —Ravi ‘Chaand’ Punia