Kya Wo Pyar Tha Poetry
Kya wo pyar tha….
Jab college ke pahle din maine pahli baar tumhen dekha
To aisa laga tha ki puri zindagi kahin ruk si gayi ho
Main mere 4 doston ke saath aakhri bench par kone wale sit par baitha tha
Jaise pure class ka View mile
Uske center mein tum raho aur
Mera Focus sirf tum par bana rahe hain
Ma’am jor-jor se chillakar kuch padhane ki koshish kar rahi thi
Magar tumhari dil ki dhadkanon se unki aawaz mere liye kahin ghum si ho gayi thi
Kya wo pyar tha…
Mujhe nahin aata pyar ka izhaar karna
Mujhe nahin aata pyar ka izhaar karna….
Kash tum aankhon ki bhasha samajh leti
Main kuch kahna chahta tha lekin kah nahin paya
Dil mein jo baat thi wo juban par aati thi
Lekin lafzo mein tabdil hone se pahle hi kahin
Kahin kho si jaati thi
Kya wo pyar tha…
Aankhon se aankhen mil gayi baaton se baaten mil gayi
Baaton ke liye mulakaate badh gayi
Aur wo mulakaaten dheere-dheere dosti mein tabdil ho gayi
Tab tumne mujhse ek baat kahi thi ki ‘Shubham’
Ladki ka haath hamesha is tarah se haath mein pakadte hai
Aur main pagla man hi man mein
Muskura kar kah gaya ki main
Tumhara haath yahan Zindagi bhar pakad ke rakhna chahta hoon
Kya wo pyar tha…
Us din se padhai ke liye college jaana fizool sa lagta tha
Aur jis din tum nahin aati thi to pura college hi banjaaran sa lagta tha
Tab se tum meri zindagi ka hissa ban gayi
Hum saath mein muskuraate the
Bas fark itna hota tha ki
Tum khushi se muskuraati thi aur main tumhen dekhkar muskuraata tha
Kya wo pyar tha…
In aankhon ko teri aadat si ho gayi thi
In hothon ko tumhari ibadat si ho gayi thi
Ek line mein tumhari tarif kya karoon
Paani tumhen dekhen to pyasa ban jaye
Aur aag tumhen dekhe to use khud se jalan ho jaaye naa
Kya wo pyar tha…
Tumhare phone pe recharge main karta tha
Aur ghanto tak tum kisi aur se baaten karti thi
Tum pyar se kisi aur ka haath pakadti thi aur yahan gudgudi mere hathon mein hoti thi
Tum kisi aur ko gale lagati thi aur yahan dhadkane meri tez ho jaati thi
Class mein Ma’am tumhen daant ti thi
Lekin gussa mujhe aata tha
Tum kisi aur ke kandhe par sar rakh kar roti thi
Aur yaar takleef mere dil ko hoti thi
Kya wo pyar tha…
Na jaane vah kya tha?.. pyar tha ya
Kuch aur tha??
Lekin jo tumse tha wo kisi aur se nahin tha
Doston usne mujhse kaha tha ki use pyar ki deewaron se nafarat hai
Aur kuch mahine baad vah kisi aur ke saath apni mohabbat ka mahal saza rahi thi
Saala mujhe lagta tha ki Zindagi ka ek usool hai
Matlab pyar ke badle hamesha pyar milta hai
Jab hamari baari aayi
To saala zindagi ne apne usool hi badal diye
To aaj se hum bhi badlenge
hum bhi badlenge
Humara andaaz-e-zindagi se raabta sab se hoga
Lekin vaasta kisi se nahi
Is tarah yah ghazal suna ke main mehfil mein khada tha
Aur log apne apne chaahne wale mein kho gaye the
Kyunki ek tarfa hi sahi magar
Haan wo pyar tha….
In Hindi