Main Tumhara Hoon Nahi
Jab tumhen malum tha main tumko pyara hun nahin
Phir kyon banaya wo sahara, jo sahara hun nahin
Tum samandar ki lahar thi par zara sa dur rahti
Kyon lipatna hi tha mujhse, jab kinara hun nahin
Aur dekhna hi tha kuch to mujhse behtar dekhte
Nahin nazar mein tha basana, jab nazaara hun nahin
Ek zamane se kyon mujhko dil mein apne tha basaaya
Bedakhal tum dil se karte jab tumhara hun nahin
Tum nahin to zindagi mein kya khushi naa mil sakegi
Hai bharosa mujh par, main kismat ka maara hun nahi.
(In Hindi)
जब तुम्हें मालूम था मैं तुमको प्यारा हूं नहीं
फिर क्यों बनाया वो सहारा, जो सहारा हूं नहीं
तुम समंदर की लहर थी पर जरा सा दूर रहती
क्यों लिपटना ही था मुझसे, जब किनारा हूं नहीं
और देखना ही था कुछ तो मुझसे बेहतर देखते
नहीं नजर में था बसाना, जब नजारा हूं नहीं
एक जमाने से क्यों मुझको दिल में अपने था बसाया
बेदखल तुम दिल से करते जब तुम्हारा हूं नहीं
तुम नहीं तो जिंदगी में क्या खुशी ना मिल सकेगी
है भरोसा मुझ पर, मैं किस्मत का मारा हूं नहीं
– Pushkar Chauhan