Zindagi Kuch Yun Hi Chalti Rahi | Asfaq Shaikh | Hindi Shayari | YQ-Mumbai (Open Mic 7)

Description: 
Poetry Title – ‘Zindagi Kuch Yun Hi Chalti Rahi’
Author Name – Asfaq Shaikh
Plateform – YQ-Mumbai (Open mic 7)

Zindagi Kuch Yun Hi Chalti Rahi Poetry

Ki zindagi yun hi chalti rahi
Hum sametate rahe ye bikharti rahi
Kya socha tha ki badal dunga ye jahan
Par ye zindagi hi har mod par badalti rahi.
Ki ab kisi bhi chiz ki farmayish naa rahi
Kuch karne ki bhi khawahish na rahi
Mile jo khushiyan tumko to thodi baant lena
Humko mile aisi, koi gunjaish na rahi.
Auther said:

(Par mujhe aisa lagta hai jaisi bhi tuti futi zindagi mili hai uska maza lena chahiye kyo ki paimane me jaam thoda ho to kya hua nasha to wo fir bhi dega)
Ki yu ghut ghut ke tu jeena chhod de,
Agar jaam ka maza le nahi sakta to pina chhod de
Again Author Said:

(Par mujhe aisa lagta hai ki zindagi ke saare gam ek taraf koi humdam na hone ka gam ek taraf……

Matalb ki yaar i’m still single😂

To upar wale par abhi bharosa hai 
Abhi bhi hope nahi chhodi hai)

Ki kuch to jugaad usne bhi lagaya hoga
Khuda ne mere liye bhi
kisi ko banaya hoga.
Ki Ishq me har kisi ko
Ijaajat hoti hai
Ek tarfa mohabbat bhi
mohabbat hoti hai
Ki tu hai nahi har jagah
Ye khud ko samjhata hu mai,
Fir bhi zindagi ki har shay me
Tujhi ko kyo pata hu mai.
Kya kabhi mila hai koi aisa zakham
Jiska marham na mile,
Tujhe kya pata ye ek tarfa mohobbat
Kaise nibhata hu mai.
Shero-O-Shayari karne ko jee lalcha raha hai,
Kya fir ek dafa mohobbat karne ko jee chah raha hai.
Rok rahe hai log sharab pine se kyu mujhe,
Gurde kharab ho bhi gaye  jo mere toh kisi ka isme kya ja raha hai.
Pee hamne sharab jara hosh me reh kar,
Har ek jaam peene ke baad kehta hu ek aur peene me kya ja raha hai.
Huye kya jara se mashhoor iss mehfil me hum,
Achanak jamane  ko humpe pyar aa raha hai.
       (Author laughing at this moment)
Batlaya use ki khuda ko basa rakha hai dil me humne,
Phir bhi wo maulvi hume masjid me kyo bula raha hai.
Pet bhara hai phir bhi bhukhe ko kuch na diya,
Isse bhukh hai bahot ya ye fijul me hi itna kha raha hai.
Ki bhari tijori aur chal pada hai darji ke pass,
Suna hai ki ab wo bechara kafan me jeb silwa raha hai.
Ki chah ke bhi kuch naa le ja payega uss kabar me,
Phir auron ka haq chhin ke wo mahal kyo banwa raha hai.
Talab lagi hai paiso ki kuch iss kadar ‘Ashfaq’ (Author’s name)
Ki din par din Ye nasha kuch badta ja raha hai.
                                           
                                             —Asfaq Shaikh