Haweliyon Mein Miri Tarbiyat Nahin Hoti – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Haweliyon Mein Miri Tarbiyat Nahin Hoti' has written by Waseem Barelvi.

  Difficult Words  
तर्बियत = पालन-पोषण, परवरिश, शिक्षा, तालीम।
शहरियत = सभ्यता, शिष्टता।
मस्लहत = भला बुरा देख कर काम करना।

Haweliyon Mein Miri Tarbiyat Nahin Hoti

Haweliyon mein miri tarbiyat nahin hoti
To aaj sar pe tapkne ko chhat nahin hoti
Humaare ghar ka pata puchhne se kya haasil
Udaasiyon ki koi shahariyat nahin hoti
Charaag ghar ka ho mahafil ka ho ki mandir ka
Hawa ke paas koi masalhat nahin hoti
Humein jo khud mein simatne ka fan nahin aata
To aaj aisi tiri saltanat nahin hoti
‘Waseem’ shahar mein sacchaayiyon ke lab hote
To aaj khabron mein sab khairiyat nahin hoti .
(In Hindi)
हवेलियों में मिरी तर्बियत नहीं होती
तो आज सर पे टपकने को छत नहीं होती
हमारे घर का पता पूछने से क्या हासिल
उदासियों की कोई शहरियत नहीं होती
चराग़ घर का हो महफ़िल का हो कि मंदिर का
हवा के पास कोई मस्लहत नहीं होती
हमें जो ख़ुद में सिमटने का फ़न नहीं आता
तो आज ऐसी तिरी सल्तनत नहीं होती
‘वसीम’ शहर में सच्चाइयों के लब होते
तो आज ख़बरों में सब ख़ैरियत नहीं होती।
                                 – Waseem Barelvi