Kuch Sawaalo Ke Jawaab Nahi Milte
Ghum jaate hain hum vajood ke saaye mein
Jazbaaton se khela kyon is qadar
Is baat ke suraag nahin milte
Kured rahi hoon main aaj phir waqt ki ret ko
Na jaane kyon ismein bikhare,
Tere mere haalaat nahin milte
Kuch sawaalon ke jawaab nahin milte.
Samet kar rooh ko phir jeena seekh liya hai
Yoon mahsoos teri kami nahin, qisse aur bhi jud gaye hain mujhse
Jo khoya uske baad safar ki thaani hi nahin
Main sitaaron mein dhundhati thi jo raushni
Aaj aankhon mein samaakar bhi uske chiraag nahin milte
Kuch sawaalon ke jawaab nahin milte.
Sawaal ye bhi hai kis hadd tak tu beparwaah hai
Sawaal ye bhi hai mujhse khaas naraazgi thi ya dil bas ye mera hairaan hai
Khair, meri jubaan par bhi ab tere naam ke alfaaz nahin milte
Badal gayi hoon main bhi ab
Afsos bas ye ki tujhe khabar tak nahin
Mere khyaalon mein bhi tere ehsaas nahin milte
Kuch sawaalon ke jawaab nahin milte.
Mud kar halaat to jaan leta
Itna to ajanbi bhi nahin gair hote
Dafna kar har fikar
Kya tujhe sach mein vaasta nahin tha koi?
Agar haan!…to phir mujhe ye tamaam sawaal kyon milte
Main bikhar rahi thi ye soch kar thoda to taras khaaya hota
Itne majboor bhi nahin the tum ki
Mere tabaahi ke nishaan nahin milte
Kuch sawaalon ke jawaab nahin milte.
Mujhe tu ab chaahiye nahin
Ek baar azaad kiya to kiya
Bas kuch parchhayiyaan hai jo poochh rahi
Kaise kisi ko khud ke be-rang bayaan nahin milte
Jo beh rahi hai hawa use bhi pata hai apna pata
Phir kaise kuch logon ko
Sab jaante hue bhi unke anjaam nahin milte
Kyun kuch sawaalon ke jawaab nahin milte.
Ek baat kahoon!
Ab phir mat dohraana ye kisi gair ke saath
Kabhi apna bana ke chhod do
Tum thakte nahin ye khel, khelakar
Aur kuch logon ko aise sawaal milte hai
Jinke zindagi bhar unke koi jawaab nahin milte
Kah rahi hoon bahut kuch khafa to tu hoga mujhse
Bas itna jaan le hazaaron dafa mainne inko kaid kiya hai
Har kyun ko teri khushi mein samet diya hai
Tu samjhe nahin inko itna nadaan to nahin
Phir kya mila yoon hara kar mujhko mujhase hi
Kaise karte ho saamna khud ka
Kya aaine mein tumko wo sawaal nahin milte
Jinke aaj bhi mujhe koi jawaab nahin milte..
Jinke aaj bhi mujhe koi jawaab nahin milte.
(In Hindi)
गुम जाते हैं हम वजूद के साये में
जज़्बातों से खेला क्यों इस क़दर
इस बात के सुराग नहीं मिलते
कुरेद रही हूं मैं आज फिर वक्त की रेत को
ना जाने क्यों इसमें बिखरे,
तेरे मेरे हालात नहीं मिलते
कुछ सवालों के जवाब नहीं मिलते।
समेट कर रूह को फिर जीना सीख लिया है
यूं महसूस तेरी कमी नहीं, क़िस्से और भी जुड़ गए हैं मुझसे
जो खोया उसके बाद सफर की थानी ही नहीं
मैं सितारों में ढुंढती थी जो रौशनी
आज आंखों में समाकर भी उसके चिराग नहीं मिलते
कुछ सवालों के जवाब नहीं मिलते।
सवाल ये भी है किस हद तक तू बेपरवाह है
सवाल ये भी है मुझसे खास नाराजगी थी या
दिल बस ये मेरा हैरान है
खैर, मेरी जुबां पर भी अब तेरे नाम के अल्फ़ाज़
नहीं मिलते
बदल गयी हूं मैं भी अब
अफसोस बस ये कि तुझे खबर तक नहीं
मेरे ख्यालों में भी तेरे एहसास नहीं मिलते
कुछ सवालों के जवाब नहीं मिलते।
मुड़ कर हालात तो जान लेता
इतना तो अजनबी भी नहीं गैर होते
दफना कर हर फिक्र
क्या तुझे सच में वास्ता नहीं था कोई?
अगर हां!…तो फिर मुझे ये तमाम सवाल क्यों मिलते
मैं बिखर रही थी ये सोच कर थोड़ा तो तरस खाया होता
इतने मजबूर भी नहीं थे तुम कि
मेरे तबाही के निशान नहीं मिलते
कुछ सवालों के जवाब नहीं मिलते।
मुझे तू अब चाहिए नहीं
एक बार आजाद किया तो किया
बस कुछ परछाइयां है जो पूछ रही
कैसे किसी को खुद के बेरंग बयान नहीं मिलते
जो बह रही है हवा उसे भी पता है अपना पता
फिर कैसे कुछ लोगों को
सब जानते हुए भी उनके अन्जाम नहीं मिलते
क्यूं कुछ सवालों के जवाब नहीं मिलते।
एक बात कहूं !
अब फिर मत दोहराना ये किसी गैर के साथ
कभी अपना बना के छोड़ दो
तुम थकते नहीं ये खेल, खेलकर
और कुछ लोगों को ऐसे सवाल मिलते है
जिनके जिंदगी भर उनके कोई जवाब नहीं मिलते
कह रही हूं बहुत कुछ खफा तो तू होगा मुझसे
बस इतना जान ले हजारों दफा मैंने इनको कैद किया है
हर क्यूं को तेरी खुशी में समेट दिया है
तू समझे नहीं इनको इतना नादान तो नहीं
फिर क्या मिला यूं हरा कर मुझको मुझसे ही
कैसे करते हो सामना खुद का
क्या आइने में तुमको वो सवाल नहीं मिलते
जिनके आज भी मुझे कोई जवाब नहीं मिलते..
जिनके आज भी मुझे कोई जवाब नहीं मिलते।
– Shivani Parashar