Main Aasmaan Pe Bahut Der Rah Nahin Sakta – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Main Aasmaan Pe Bahut Der Rah Nahin Sakta' has written by Waseem Barelvi.

Main Aasmaan Pe Bahut Der Rah Nahin Sakta

Main aasmaan pe bahut der rah nahin sakta
Magar ye baat zameen se to kah nahin sakta
Kisi ke chehre ko kab tak nigaah mein rakhoon
Safar mein ek hi manzar to reh nahin sakta
Ye aazmaane ki fursat tujhe kabhi mil jaaye
Main aankhon aankhon mein kya baat keh nahin sakta
Sahaara lena hi padata hai mujh ko dariya ka
Main ek qatara hoon tanha to beh nahi sakta
Laga ke dekh le jo bhi hisaab aata ho
Mujhe ghata ke wo ginati mein reh nahin sakta
Ye chand lamhon ki be-ikhtiyariyaan hain ‘Waseem’
Gunah se rishta bahut der reh nahin sakta.
(In Hindi)
मैं आसमाँ पे बहुत देर रह नहीं सकता
मगर ये बात ज़मीं से तो कह नहीं सकता
किसी के चेहरे को कब तक निगाह में रक्खूँ
सफ़र में एक ही मंज़र तो रह नहीं सकता
ये आज़माने की फ़ुर्सत तुझे कभी मिल जाए
मैं आँखों आँखों में क्या बात कह नहीं सकता
सहारा लेना ही पड़ता है मुझ को दरिया का
मैं एक क़तरा हूँ तन्हा तो बह नहीं सकता
लगा के देख ले जो भी हिसाब आता हो
मुझे घटा के वो गिनती में रह नहीं सकता
ये चंद लम्हों की बे-इख़्तियारियाँ हैं ‘वसीम’
गुनह से रिश्ता बहुत देर रह नहीं सकता।
                                 – Waseem Barelvi