Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Nahin Ki Apna Zamaana Bhi To Nahin Aaya
Nahin ki apna zamaana bhi to nahin aaya
Humein kisi se nibhaana bhi to nahin aaya
Jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak
Tumhen charaag bujhaana bhi to nahin aaya
Naye makaan bahaayein to phaaslon ki tarah
Humein ye shahar basaana bhi to nahin aaya
Wo puchhta tha miri aankh bhigne ka sabab
Mujhe bahaana banaana bhi to nahin aaya
‘Waseem’ dekhna mud mud ke wo usi ki taraf
Kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya.
(In Hindi)
नहीं कि अपना ज़माना भी तो नहीं आया
हमें किसी से निभाना भी तो नहीं आया
जला के रख लिया हाथों के साथ दामन तक
तुम्हें चराग़ बुझाना भी तो नहीं आया
नए मकान बनाए तो फ़ासलों की तरह
हमें ये शहर बसाना भी तो नहीं आया
वो पूछता था मिरी आँख भीगने का सबब
मुझे बहाना बनाना भी तो नहीं आया
‘वसीम’ देखना मुड़ मुड़ के वो उसी की तरफ़
किसी को छोड़ के जाना भी तो नहीं आया ।
– Waseem Barelvi